Posts

Showing posts from November, 2018

SHAHAD SE FAWAYID

Image
SHAHAD SE FAWAYID ◆ Quran Me Allah Ta'ala Farmate he : ۚ يَخْرُجُ مِنْ بُطُونِهَا شَرَابٌ مُخْتَلِفٌ أَلْوَانُهُ فِيهِ شِفَاءٌ لِلنَّاس Tarzama:*Unn Makhhio Ke pet se Pine ki chiz Nikalti he jiske Rang Mukhtlif hote he usme Logo ke Shifa he  Ref [ Surah Nahal: 69 ] ◆Fayda: Shahad Aisi Kudrati Nemat he , jo mukammal Dawa Aur Bhrapur Giza bhi he, jo har Shakhs aur wah har Umr wale ke liye behad Mufid he , Khususiyat Se Subah Nihar Muh Uska Istemal Badi Badi Bimariyo Se Hifazat ka Zariya He

RAKH SE JAKHM KA ILAAZ

Image
RAKH SE JAKHM KA ILAAZ ◆ Gazaw E Ohad Me Jab Rasool'Allah ﷺ Ka Chehra e Mubarak jakhmi Ho Gaya To Aapﷺ ki Sahabzadi Hazrat Fatima Razi Allahu Taala Anha Khun Dho Rahi Thi aur Hazrat Ali Razi Allahu Taala Anhu Jakhmo par Paani Daal rahe the Hazrat Fatima Razi Allahu Taala Anha Ne Jab Dekha ke Khun Bandh  hone Ke Bajay Badhta Hi Jaa Raha he To Unhone  ( khajur Ke patto ki ) Chatayi ka Ek Tukda lekar Jalaya aur Jab wah Rakh Ho Gaya To Usko Jakhmo par Laga Diya Jisse Khun Bandh Ho Gaya.  Ref [ Bukhari  : 2903 ] ◆Fayda: Hakimo Ne likha he Ki Taat Ke Patto aur Khajur ko Chatayi Ki Rakh Badhte Hue Khun ko Rokne Me Bahot Mufid he

Hamare Nabi ki Seerat Hamare Nabi ke Aamad Ka Zikr Quran w Hadees ki Raushni Mein.

Image
Hamare Nabi ki Seerat Hamare Nabi ke Aamad Ka Zikr Quran w Hadees ki Raushni Mein. ◆PART :- 07 ◆Riwayat No.01.. ◆HAZRAT-E-FATIMA BINTE ABDULLAH رضى الله تعالى عنه farmati hain, ◆ "Huzoor ﷺ Ki Wiladat Ke Waqt Maine Sitaaro Ko Dekha Ke Aasman Se Niche Utar Aaye Hai" Ref (MAWAHIBUL LADDUNIYA, Jild-1,Safa-22) ●Riwayat No.02.... ◆HAZRAT-E-FAATIMA BINTE ABDULLAH رضى الله تعالى عنه Farmati hain, ◆"Huzoor ﷺ ki wiladat ke waqt maine dekha ke saara Ghar Noor se pur tha" Ref (HUJJATULLAHI ALAL AALAMIN SAFA-227) ◆Riwayat No.03... ◆"Aaqa ﷺ ki wiladat ke waqt aap ki walida ke pass Aasman se 4 Auratein aayi, 1.Hazrat HAWWA.. 2.Hazrat SAARA.. 3.Hazrat HAAJRA.. 4.Hazrat AASIYA" Ref (TAFSIR-E-ALAM NASHRAH S.95) ●Riwayat No.04... ◆Aap ﷺ ki wiladat ki khushi main Allah Kareem ne us din/raat Tamam Maaon ko betay ki khushi say nawaza. Ref (KHASAIS UL KUBRA, Jild 1, Page 117) Ref (ANWAR E MUH...

Khawateen e islam ke liye zaroori islami masaile auraton ke zaroori masaile. PART- 02

Image
Khawateen e islam ke liye zaroori islami masaile auraton ke zaroori masaile. PART- 02 ◆HAIZ (Menstrual Cycle) KA BAYAAN ●ALLAH T'AALA irshad farmata hai :- ◆Tarjama :- ◆Aye MAHBOOB tumse haiz ke baare me log sawal karte hain tum farma do woh Gandi cheez hai, ◆To Haiz me Auraton se bacho aur unse Qurbat (Humbistari) na karo jab tak paak na ho lein, ◆To jab paak ho Jayein Unke paas us jagah se aao jiska ALLAH ne tumhe hukm diya beshak ALLAH dost rakhta hai touba karne walon ko aur dost rakhta hai paak hone walon ko " ◆HADEES NO. 01  ◆SAHI MUSLIM me ANAS IBNE MAALIK RADHIYALLAHU T'ALA ANHU se marwi ki farmate hain ki Yahoodiyon me jab kisi Aurat ko haiz (M C) Aata to use na apne sath khilaate aur na apne Gharon me Rakhte, ◆SAHABA E KIRAM ne HUZOOR E AKRAM SALLALLAHU T'ALA ALEIYHI WASALLAM se puchha us par ALLAH T'ALA ne. ◆" wa yas, aaloo naka A'anilmaheedhi " ◆Nazil farmaai to RASOOLULLAH SALLALLAHU T...

Hamare Nabi ki Seerat Hamare Nabi ke Aamad Ka Zikr Quran w Hadees ki Raushni Mein. ◆PART :- 06

Image
Hamare Nabi ki Seerat Hamare Nabi ke Aamad Ka Zikr Quran w Hadees ki Raushni Mein. ◆PART :- 06 ◆Jhande Lehrana kiski Sunnat ? ●Reference No.01... ◆Hazrate Amina رضى الله تعالى عنه farmati hain ki, ◆"Jab Muhammad ﷺ Ki Wiladat Hui Us waqt Hazrat Jibrail علیہ السلام Ne 3 Jhande Nasab Kiye Ek Magrib Me Ek Mashrik Me Aur Ek Kaabe Ki Chat par" ◆Is Riwayat Ko Shah Abdul Haq Muhaddith Dahelvi ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه Ne Apni Kitab "Madarijun nabuwa" Jild 2 Me Naqal Kiya Hai.... ●Reference No.02.. ◆Hadees Shareef main aata hai k jub SARKAR ﷺ Madina shareef main dakhil hue to Aap ke haath main sabz jhanda tha. Ref (Wafa al wafa, Vol:1, Pg:243). ●Reference No.03... ◆Huzoor ﷺ ki peydaish per Hazrat Jibraeel علیہ السلام ney jhandy garhey. Ref (Khasais Al qubra, Vol:1, Page:82) ◆Naat-e-Mustafa ﷺ Padhna kiski Sunnat ? ●Reference No.01... ◆Huzoor ﷺ Hazrat Hassan رضی الله عنہ ke liye Masjid-e-Nabawi shareef me Mimbar rakhte or H...

Hamare Nabi ki Seerat Hamare Nabi ke Aamad Ka Zikr Quran w Hadees ki Raushni Mein. ◆PART :- 05

Image
Hamare Nabi ki Seerat Hamare Nabi ke Aamad Ka Zikr Quran w Hadees ki Raushni Mein. ◆PART :- 05 ◆Juloos E Milad Un Nabi Nikalna kis ki Sunnat? ◆Aaiye Dekhte Hai Milad Un Nabi (ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم) Ke Mauke Nikale Jane Wale Juloos ke Mustahab Amal Hadith Ki Roshni Me. ◆Pehle hum kuch point note kar lete hain ki juloos me hota kya hain. ◆Naat padhi jaati hai jis me Aaqa-E-Karim (ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم) ki Shaan aur Azmat ka bayan kiya jaata hai. ◆Khushi mein Jhandey lehraye jaate hain. ◆Log Ikhatte jama hote hain aur Naare lagaye jaate hain. ◆"Hum (Sahaba Ikram) Sab Apne Bachcho Samet Huzoor Ke Istiqbal Ke Liye Wida Ki Ghatiyo Tak Gaye".... Ref (Bukhari Jild 1, Safa 543) ◆Jab Aaqa (ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم) Hijrat Kar ke MADINA Sharif Aaye To Logon Ney Khoob Jashan Manaya Naw-jawan Ladke Apni Chatton Par Chadh Kar Aur Ghulam, Khuddam Raasto Me Phirte the Aur Nara'Aey Risalat Lagate Aur Kehte "Ya RasoolAllah" (ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم)...

KHAJUR SE PASLI KA ILAAZ

Image
 KHAJUR SE PASLI KA ILAAZ  Hazrat Jabir Bin Abdullah Razi allahu Taala anhu Rivayat karte hai ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya :  "Khajur khane se Kaulanj Nahi Hota he"  Ref [ Kanjul UmaaL : 28191 ] ◆Fayda: Pasli Ke Niche Hone wale Dard Ko Kaulanj Kaha Jaata he

Hamare Nabi ki Seerat Hamare Nabi ke Aamad Ka Zikr Quran w Hadees ki Raushni Mein.

Image
Hamare Nabi ki Seerat Hamare Nabi ke Aamad Ka Zikr Quran w Hadees ki Raushni Mein. ◆PART :- 04 Abu Lahab ne bhi Milaad-e-Mustafa ﷺ manaya ? ◆Jab Huzoor ﷺ Ki Wiladat Hui tab Abu lahab Ki Laundi (Ghulam Aurat/Lady Slave) Sobiya Ne Abu Lahab Se Kaha Ki Tujhe Bhatija Hua hai Is Khushi Me Abu Lahab Ne Apni Us Laundi Ko Ungli K Ishare Se Azad Kiya Tha.... ◆"Pas Jab Abu-Lahab Mar Gaya To Uske Baad Ahl-e-Khana Ne Use Khuwab Mein Buri Halat Mein Dekha To Usse Puchha "Tera Kya Haal Hai" ◆To Abu- Lahab Ne Kaha "Maine Tumhare Baad Koi Bhalaa'ee Nahi Payi Lekin Mujhe Us Ungli Se Paani Diya Jata Hai Is Se Maine Hazrat Muhammad ﷺ Ki Wiladat Ki Khushi Mein Sobiya Ko Aazad Kiya Tha" Ref (Sahih Bukhari, Vol. 1, Page 153, Hadith No 5101, Kitaabun Nikaah) ◆EID MILAD UN NABI ﷺ KA AHTAMAM OR KHUSHI ZAHIR KARNEY WALO K LIYE KHUSHKHABRI HAI K WO JANNATI HAI.... ●EID MILAD UN NABI ﷺ Ka Bare Me KHULFA E Rashideen Ka Qual: ◆HAZRAT-E-SIDDIQ-E-AKBAR RADIYALLAHU TA...

GAAY KE DUDH PINE KA FAYADA

Image
 GAAY KE DUDH KA FAYADA  Hazrat Abdullah Bin Masud Razi allahu Taala anhu Rivayat karte hai ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya : Gaay Ka Dudh Istemal Kiya karo, kyu ke Wah Har kism Ke Paudo(tree) Ko Charti He (iss liye) Uske Dudh me har Bimari Me Shifa he  Ref [ Mustdarak : 8224 ]

AAMEEN KI AHMIYAT

Image
AAMEEN KI AHMIYAT ◆HUZOOR-E-AQDAS ﷺ KA IRSHAD-E-MUBARAK HAI ! ◆YAHUDI TUM MUSALMANO KE AAMEEN KAHNE SE JITNA JALTE HAI UTNA KISI CHEEZ SE NAHI JALTE LIHAZA KHOOB AAMEN KAHA KARO ! REF( IBN-MAJAH: SAFA.61; HADEES.856) ◆HAZRAT IMAM-E-AZAM ABU HANIFA RADIALLAHU ANHU AOR FUQAHA WA MUHADDISEEN E AHNAAF RADIALLAHU ANHU FARMATE HAI KI ! ◆NAMAZ ME AAHISTA AAMEEN KAHNA CHAHIYE KYUNKI {QURAN} WA HADEES SE YAHI SABIT HAI ! (1) REF (TAFSEER KHAZIM 306/2) ◆AAMEEN KE MANE LIKHA HAI AYE ALLAH QUBOOL FARMAYE MALOOM HUWA KI {AAMEEN} DUA HAI ! ◆AOR JALEEL-UL-QABAR TABII ATAA RADIALLAHU AHU BHI YAHI FARMATE HAI (AAMEEN DUA HAI) REF( BUKHARI: 107/1) ◆AOR DUA KEMUTAALIQ ALLAH TAALA KA HUKM HAI APNE RAB SE DUA KARO AAJIZI KE SATH AOR AAHISTA ! REF[ SURAH AL ARAAF: AYAT.205) ◆JAB AAMEEN DUA HONA SABIT HO GAYA TOH {QURAN-E-KAREEM} KE HUKM KE MUTABIQ AAMEEN AAHISTA KAHNA CHAHIYE ! ◆ISI WAJE SE FAQARUDDIN RAAZI SHAFII RAHMATULLA APNI TAFSEER ME TEHREER FARMATE HAI AGAR AAHI...

Khawateen e islam ke liye zaroori islami masaile auraton ke zaroori masaile

Image
Khawateen e islam ke liye zaroori islami masaile auraton ke zaroori masaile. PART- 01 ◆ zarooriyate Deen kya he?? ◆ zarooriyate deen un cheejo ko kehte hai jinka Huzur sallallahu Alaihivasallam ke deen se hona qatai or yaqeeni ho or had tawatar Shohrate aam tak pahunch chuka ho, Hattaki Awam bhi jaante ho k ye cheeze Nabi  sallallahu Alaihivasallam ke deen se hai, ◆Jese: - Toheed, Risalat, Khatme nabuwat, Hayaat, Ba'adal maut, Saza or Jaza, Namaz, Roza, hajj, zakaat ki farziyat, Sharab or Sood ki hurmat, etc, .. ◆Fitrate Deen kya he?? ◆ Insaan me pedaisi salahiyat or ahliyat k wo bager kisi mahol ke asar ke deen islam ki cheejo ko qubool kar le, Ref { Khwateen ke Fiqhi Masayal, Safa no 40 } ◆ Aurte apne khawind ke janaze per chudiya todti hai, Kya ye shariyat ka hukm he,?? ◆ Chudiya todkar Jaaya karna galat baat he,Shariyat ka  Koi hukm nahi he, Utaar kar rakh Lena chahiye, jab iddat khatm ho jaye fir pehan le, ◆Rivaaj he k kamsin doodh ...

Hamare Nabi ki Seerat Hamare Nabi ke Aamad Ka Zikr Quran w Hadees ki Raushni Mein

Image
Hamare Nabi ki Seerat Hamare Nabi ke Aamad Ka Zikr Quran w Hadees ki Raushni Mein. ◆PART :- 03 ◆Quran kya Farmata hai ? ◆“Apne Rab Ki Nemato Ka Khoob Khoob Charcha Karo” Ref (Surah Duha Ayat 11) ◆Is Ayat Me Allah Ta'ala Ne Humein Apni Nemato Ka Charcha karne Ka Hukm Diya. Har Momin Ye Janta Hai Ki Allah Ki Sabse Badi Aur Azeem Nemat Hamare Liye Uske Rasool صلی اللہ علیہ وسلم Hai ! ◆Is Baat Ko Samjhane K Liye Quran Ki Ek Ayat Pesh e khidmat hai... ◆“Beshak Allah ka bada ehsan hua musalmano par ki unme unhi me se ek Rasool صلی اللہ علیہ وسلم bheja jo unpar uski aayatein padhta hai aur unhe paak karta hai.....” Ref (Sureh Al-Imran,Ayat 164) ◆Mere Bhaiyo Aap Sara Quran Pad Lijiye Kisi Bhi Jagah Allah Ne Ye Nahi Kaha K Humne Tumhe Ye Nemat Dekar Tumpar Ehsan Kiya hai Siwae Apne Mehboob Nabiصلی اللہ علیہ وسلم ke. ◆Isse Malum Hua K Allah Ki Sabse Badi Nemat Hamare Liye Uske Nabi صلی اللہ علیہ وسلم Hai… ◆"Beshak Tumhare Paas Tashrif Laye Tum...

ISMID SURMA SE AANKHO KA ILAAZ

Image
ISMID SURMA SE AANKHO KA ILAAZ Hazrat Huzaifa Razi allahu Taala anhu Rivayat karte hai ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya : Tumhare Surmo Me Sabse Behtar Surma Ismid he, Jo Aankho Ki Roshni Badhata He Aur Palko Ke baalo Ko Ugata He  Ref [ Abu Dawood: 3878 ]

Hadees ki raushni me achche akhlaq ki fazilat achche akhlaaq ki fazilat aur islam

Image
Hadees ki raushni me achche akhlaq ki fazilat achche akhlaaq ki fazilat aur islam. ●NEKI ACHCHE AKHLAQ KA NAAM HAI  ◆Mahfum-e-Hadees: Nawas Bin Samaan Ansari (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Maine Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Se Neki Aur Gunaah Ke Baare Me Poocha Tou Aap Ne Farmaya  “Neki Ache Akhlaaq Ka Naam Hai Aur Gunah Jo Tere Seeney Me Khatke Aur Tujhe Pasand Na Ho Ke Log Usey Jaaney.” Ref  (Sahi Muslim 2553) ◆KAAMIL IMAN KI ALAMAT  ◆ Mahfum-e-Hadees: Abu Huraira (Razi’Allahu Anhu) Farmate Hai Ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – “Momino Me Iman Ke Aitbar Se Sabse Kamil Shakhs Wo Hai Jiske Akhlaaq Sabse Acche Hai.” Ref  (Abu Dawood 4682) ◆ROZEDAAR AUR TAHAJJUD GUZAR JAISA MAQAAM  ◆Mahfum-e-Hadees: Maayi Ayesha(Razi’Allahu Anha) Farmati Hai Ke, Maine Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ko Ye Farmate Huwe Suna  “Momin Apne Achche Akhlaaq Se Rozedar Aur Ta...

Hamare Nabi ki Seerat Hamare Nabi ke Aamad Ka Zikr Quran w Hadees ki Raushni Mein

Image
Hamare Nabi ki Seerat Hamare Nabi ke Aamad Ka Zikr Quran w Hadees ki Raushni Mein ◆PART :- 02 ◆Aap ﷺ ne aapna Milaad manaya ? Aur Huzur  ﷺ Ne Apne milaad ke mutallik kya farmaya ? ◆"Aayiye aapke saamne ek Hadees pesh karta hun Aapne Pyaare Aaqa ﷺ ke Meharban hone ki, ◆Chunanche Aaqa-e-Kareem ﷺ  ka farman magfirat Nishan hai, ●"Jisne Mujh par 100 martaba Durood-e-Paak padha Allah uski dono aankho ke darmiyaan likh deta hai ki Ye Nifaaq aur Jahannam ki aag se Aazaad hai aur use Ba Roze Qiyamat Shohdaa ke saath rakhega." Ref {Majmuazzawayad; Vol 10; Pg 253; Hadees 17298} ●Ab 100 baar durood sharif padhna kaunsi badi baat hai ? Magar phir bhi Jahannam se nijaat ki basharat de di gayi ab yeh meharbani nahi toh kya hai ? ●Ab Aur kya-kya Reason chahiye tumhe aapne Pyaare Nabi ﷺ  se Muhabbat karne ke liye aur unki ki Wiladat ki khushi Manane ke liye ? ◆Hadees No:- 01. ◆Hazrat Abu Qatada رضی الله عنہ Se Riwayat Hai, Rasool-E-Karim ﷺ Se Peer Ka Roza Ra...

LAUKI SE DIMAG KI KAMZORI KA ILAAZ

Image
 LAUKI SE DIMAG KI KAMZORI KA ILAAZ Hazrat Anas Razi allahu Taala anhu Rivayat karte hai ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya  : Tum Lauki (Doodhi) Khaya Karo , Kyu Ke Yah Akal Ko Badhati He Aur Dimag ko Taakat Deti he  Ref [KanzuL UmmaL: 28273 ]

Hamare Nabi ki Seerat Hamare Nabi ke Aamad Ka Zikr Quran w Hadees ki Raushni Mein

Image
Hamare Nabi ki Seerat Hamare Nabi ke Aamad Ka Zikr Quran w Hadees ki Raushni Mein ◆PART :- 01◆ ◆Aaqa-e-Kareemﷺ ki wiladat kab hui ? ◆12 Rabi Ul Awwal Par Tamam Ulama E Islam Ka Ijma Hai K Is Din Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم Sare Alam K liye Rehmat Bankar Duniya Me Tashreef Laye Aur Isi Din Sari Duniya Me Musalman Apne Nabi صلی اللہ علیہ وسلم Ki Wiladat Ka Jashan Karte Hai ! ◆Ibn-e-Ishaq ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه (85-151 Hijri): Ref [Ibn Jawzi in al-Wafa, Page 87] ◆ Allama Ibn Hishamﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه(213 Hijri): Ref [Ibn Hisham in As-Sirat-un-Nabawiya, Vol. 1,Page 158] ◆Imam Ibn Jarir Tabariﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه(224-310 Hijri): Ref [Tarikh al-Umam wa al-Muluk, Vol. 2,Page 125] ◆Allama Abu al-Hasan Ali binMuhammad Al-Mawardiﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه (370-480 Hijri): Ref [Ailam-un-Nabuwwa, Page 192] ◆Imam Al-Hafiz Abu-ul-Fatah Al-Undalasi ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه (671-734 Hijri): Ref [Aayun al-Asr,Vol. 1, Page 33] ◆Allama Ibn Khaldun ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه (732-808 Hijri): Ref [Ibn Khaldun...

Har Haal me Bhai ki Madad

Image
°°°°°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°°°  ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆              Har Haal me Bhai ki Madad 📜Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki:Tum apne bhai ki madad karo chaahe woh zaalim ho ya mazloom.Ek shakhs ne arz kiya Ya Rasoolallah ﷺ ! Agar woh mazloom ho to main uski madad karunga lekin mujhe ye bataaiye ki agar woh zaalim ho to main uski madad kaise karunga?To Aap ﷺ ne farmaya ki use zulm karne se rok kar. Ref {Sahi Bukhari,Hadis No.2311}

HAQ PAR HONE KE BA-WAJOOD BHI JHAGDA CHHOD DO

Image
HAQ PAR HONE KE BA-WAJOOD BHI JHAGDA CHHOD DO HAZRAT UMAMAH RADIALLAHO TAALA ANHU RIWAYAT KARTE HAI ! NABI-E-KAREEM ﷺ NE IRSHAD FARMAYA ●MAI US SHAKHS KE LIYE JANNAT KE ATRAAF ME EK GHAR DILANE LI ZIMMEDARI LETA HOON JO HAQ PAR HONE KE BAJOOD BHI JHAGDA CHHOD DE AOR US SHAKHS KE LIYE JANNAT KE DARMIYAN (BEECH) ME EK GHAR DILNE KI JIMMEDARI LETA HOON ! ●JO MAZAQ ME BHI JHOOTH CHHOD DE AOR US SHAKHS KE LIYE JANNAT KE BULAND TAREEN (BAHOT AALA) DARJE ME GAR DILANE KI ZIMMEDARI LETA HOON ! ●APNE AKHLAQ ACHHE BANA LE ! Ref (ABU DAWOOD)

Maut Ke Waqt Aankh khuli kiun rehti hai?

Image
Maut  Ke Waqt Aankh khuli kiun rehti hai?   Hazrat Abu Hurairah Radiyallahu Ta'ala Anho bayaan karte hain ki Rasoolullah Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam ne irshaad farmaya ki  Kiya tum nahi dekhte ki jab koi marta hai to us ki aankhen phati ki phati reh jaati hai  Sahabah!!! ne arz ki ji Haan Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshaad farmaya ki  Ye is liye ki us waqt nazar ROOH ka pichaa karti hai.  Ref [ Sharhus Sudoor. Safa No. 176 ] ☆Is Hadees E Pak se pataa chala ki jab farishta rooh nikaal kar le jataa hai to marne waala apni rooh ko dekhta rehtaa hai isi liyee marne ke baad aankh khuli rehti hai.

Nikah Ki Fazilat Quran wa Hadees ki Roshni me.

Image
Nikah Ki Fazilat Quran wa Hadees ki Roshni me. Nikah Insaan mein Sharm o haya Paida karta hai. Nikah Insaan Ko Badkari se Bachata hai. Hazrat Abdullah Bin Masud RadiAllahuanho Kahtey hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya : Aye Jawan Logo Tum mein se jo shaadi ki istata’at rakhe woh Nikah kar le islye ke nikah aankho ko jhukaata aur Sharmgaah ko (zina Se) bachata hai aur jo shakhs Kharch ki taqat na rakhe woh roza Rakhe kyun ke roza khawaish e nafs ko khatm kar deta hai Ref (sahih Muslim: 1400) Nikah Jinsee Aludgi Shaitaan khayalat o Afaal se mahfuz rakhta hai. Hazrat Jabir RadiAllahuanh farmate hai ke main ne nabi akram (ﷺ) ko farmate hue suna ke jab Kisi Aadmi ko koi aurat achchi lage uske dil mein uski muhabbat aye toh use apni biwi ke pass jana chahiye aur usse sohbat karni chahiye aisa karne se admi ke dil us aurat ka kahyal jata rahe ga. Ref (Sahih Muslim: 1403) Nikah Baahmi Muhabbat Aur Ukhuwwat ka Behtareen Zariya hai. Hazrat Abdullah Ibn Abbas RadiAllahuanho k...

MARIZ KA NAFSIYATI ( Saicological ) ILAAZ

Image
 MARIZ KA NAFSIYATI ( Saicological ) ILAAZ ● Hazrat Abi Sayid kudri Razi allahu Taala anhu Rivayat karte hai ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya. ● Jab Tum mese koi Kisi Mariz ke pass Jaao , To Uski Maut Ke baare Me Tasalli Ki Baat kaho , Kyu ke Tumhari Yeh Guftgu Agarche Allah Ke faisle ko To NaHi Badal Sakti He, Magar Mariz ke Dil Ko Sukun Pahochayegi  Ref [Tirmizi : 2087 ]

Hazrat Muhammad صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ne Apni Zindagi me Kabhi Azan Di Hain ?

Image
Kya Hazrat Muhammad صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ne Apni Zindagi me Kabhi Azan Di Hain ? Deen Ke Dushmano Ne Ya Zamane Jahiliyat Ne Azan Ke Bare Me Huzur (Sallallahu Alayhi Wa Sallam) Ke Naam Se Banaye Hue Kuch Jhute Hadeeso Ka Khulasa Ham Iss Post Me Karna Chahenge. Lihaza Post Jara Goaur Se Parhiyega !!! ● Jhuti Hadees No.1: Hamaare Nabi-e-Paak Taajdaar-e-Madina (Sallallaahu Alaihe Wa Sallam Ne Kabhi Azaan Nahi Di, Isliye Ke Agar Aap Azaan Dete Toh Puri Kaayenaat Sajda Me Aa Jati, Aur Allah Ko Azaan Bahut Pasand Hai. ● Jhuti Hadees No.2: Sawal : Aisa Konsa Kaam Hai Jis Ke Karne Wale Ko Allah Paak Bohat Pasand Karte Hain. Magar Woh Kaam Hazrat Muhammad (Sallallaahu Alaihe WaSallam) Ne Nahi Kiya? Answer: Huzooor (Sallalah-O-Alaihe Wassalam) Ne Kabhi Aazaan Nahi Di, Agar Aap (Sallallaahu Alaihe WaSallam) Aazan Dete Toh Kainaat Ki Har Cheez Masjid Me Aa Jati Aur Nizaam-e-Kainaat Tabaah Ho Jata,.!!! In Jhuti Hadees o Ka Khulasa Kuch Haq Dalilo Me : Ye Bil...

RAAY KE FAWAYID

Image
 RAAY KE FAWAYID  Hazrat Abu Hurairah Razi allahu Taalq anhu Rivayat karte hai ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya : Tum Log Raay ka Istemal Kiya karo, Kyu ke Uss me Allah Taala Ne Har Bimari Me shifa Rakhi he  Ref [ FaizuL kadir : 262 ] Fayda: Raay Ka Tel Baalo me Majbuti Paida Karta he , Safed hone se Rokta He aur jild Me Narmi Paida karta he

THANDE PAANI SE BUKHAR KA ILAAZ

Image
 THANDE PAANI SE BUKHAR KA ILAAZ  Hazrat Anas Razi allahu Taala anhu Rivayat karte hai ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya  : Tum me se kisi ko jab Bukhar aaye, To sahari  waqt Thanda Paani (Uske Badan par) Teen Raat Tak chhidka Jaaye  Ref [Mustdarak: 8226 ] ☛Fayafa: Aaj Jadid Tarike E Ilaaz Ke Mutabik Doctor Hazrat Bhi Bukhar Ke Mariz Ke sar par Thande Paani ki Patti Rakhne ka Mashwara Dete he

Achchha Saathi Aur Achchha Padosi

Image
°°°°°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°°°  ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆ Achchha Saathi Aur Achchha Padosi 📜Huzur sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Allah ke nazdeek saathiyo me woh behtar hai jo apne saathi ka khair khaa ho aur padosiyo me Allah ke nazdeek woh behtar hai jo apne padosi ka khair khaa ho. Ref ( Tirmizi,hadees No.1944 )

NA KARO HALAAL KO HARAAM NA KARO BURAYI KA KAAM

Image
NA KARO HALAAL KO HARAAM NA KARO BURAYI KA KAAM RAKHO BHAROSA ALLAH PAR HAI USKE DAST E QUDRAT HAR KAAM  HADITH Hazrat e Amr Ibne Saad رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ ki jo aadmi Allah Taala ﷻ par bharosa karle aur apne sab kaamo'ñ ko Khuda e Taala ﷻ ke supurd kar de toh Allah Taala ﷻ uske liye kaafi hai. Ref { Ibne Majha Sharif )

Duniya Mein Is Tarha Raho Jayese...

Image
Duniya Mein Is Tarha Raho Jayese... Hadees Shareef  Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wa sallam) Ne Farmaya. Duniya Mein Is Tarha Ho Jao… Jaise Tum Musafir Ho Shaam Ho Jaye To Subah Ka Intezar Na Karo Aur Subah Ke Waqt Shaam Ka Intezar Na Karo Balke Jo Naik Amal Karna Hai Use Usi Waqt Kar Lo Apni Sehat Ko Marz Se Pehle Ghanimet Jaano Aur Zindagi Ko Maut Se Pehle. Ref( Sahih Bukhari, Hadees No :1338) DOWNLOAD KARE IS APP KO https://play.google.com/store/apps/details?id=com.quranidua.blogger.quraniwazifa

JUMA KA FAZILAT FIRDAY AL HADITH

Image
JUMA KA FAZILAT FIRDAY AL HADITH SAYYADINA RASOOL ALLAH NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Tumhare dinou me sab se zyada fazilat wala din juma ka din hai, pas tum us din mujh par kasrat se Durood bhejha karo , isliye ke tumhara Durood Mujh par pesh kiya jata hai. Ref (Sunan e Abu Dawood) Download Now app https://play.google.com/store/apps/details?id=com.quranidua.blogger.quraniwazifa

shab e juma ka darood sharif

Image
शबे जुमुआ का दुरुद शरीफ بِسْــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِىْمِ الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ      बुज़ुर्गो ने फ़रमाया की जो शख्स हर शबे जुमुआ (जुमुआ और जुमेरात की दरमियानी रात, जो आज है) इस दुरुद शरीफ को पाबंदी से कम अज़ कम एक मर्तबा पढेगा तो मौत के वक़्त सरकारे मदीना ﷺ की ज़ियारत करेगा और कब्र में दाखिल होते वक़्त भी, यहाँ तक की वो देखेगा की सरकारे मदीना ﷺ उसे कब्र में अपने रहमत भरे हाथो से उतार रहे है. بِسْــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِىْمِ اللّٰھُمَّ صَلِّ وَسَلّـِمْ وبَارِکْ عَلٰی سَیّـِدِ نَا مُحَمَّدِنِ النَّبِیِّ الْاُمّـِىِّ الْحَبِیْبِ الْعَالِی الْقَدْرِ الْعَظِیْمِ الْجَاھِ  وَعَلٰی  اٰلِهٖ وَصَحْبِهٰ وَسَلّـِم अल्लाहुम्म-सल्ली-वसल्लिम-व-बारीक-अ'ला-सय्यिदिना-मुहम्मदीन-नबिय्यिल-उम्मिय्यिल-ह्-बिबिल-आ'लिल-क़द्रील-अ'ज़िमील-जाहि-व-अ'ला आलिही व-स्ह्-बिहि व-सल्लिम सारे गुनाह मुआफ़      हज़रते अनस رضي الله عنه से मरवी है, हुज़ूर صلى الله عليه وسلم ने फ़रमाया : जो शख्स जुमुआ के दिन नमाज़े फज्र से पहले 3 बार اٙسْتٙغْفِرُ ا...

AKHIRI NABI MUHAMMAD SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA BAYAN

Image
AKHIRI NABI MUHAMMAD SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA BAYAN  SAWAL- Aakhri Nabi SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM ki paidaish ki tarikh kiya hai? JAWAB - 12th Rabi ul Awal peer ke din aammul feel ( yani hathi wale hadse ka saal ) ke 40 ya 50 din baad ( 20 April 571 i ) Ref Mudarijunnubuwwat 2 page 18 )  Ref ( Zarqani 1 page 132 ) SAWAL - Huzoor . صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ paida hone ke baad aapne kin auraton ka doodh piys? JAWAB - MAAN Hazrat Aamina ka, Abu Lahab ki baandi sovaiba aur Haleema sadiya ka. Ref ( ,Madarijunnubuwwat 2 page 23 ta 24 )

Maa Baap

Image
°°°°°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°°°  ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆ Maa Baap 📜Huzur Nabi kareem sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: ki us shakhs ki naak mitti me mil jaae aur woh zalil ho jaae jo apne maa baap dono ya ek ko budhaape me paaya lekin un ki khidmat nahi kiya ki jannat me chala jaata. Ref( Sahi Muslim,Hadis No.2551 )