Hamare Nabi ki Seerat Hamare Nabi ke Aamad Ka Zikr Quran w Hadees ki Raushni Mein.
Hamare Nabi ki Seerat Hamare Nabi ke Aamad Ka Zikr Quran w Hadees ki Raushni Mein.
◆PART :- 04
Abu Lahab ne bhi Milaad-e-Mustafa ﷺ manaya ?
◆Jab Huzoor ﷺ Ki Wiladat Hui tab Abu lahab Ki Laundi (Ghulam Aurat/Lady Slave) Sobiya Ne Abu Lahab Se Kaha Ki Tujhe Bhatija Hua hai Is Khushi Me Abu Lahab Ne Apni Us Laundi Ko Ungli K Ishare Se Azad Kiya Tha....◆"Pas Jab Abu-Lahab Mar Gaya To Uske Baad Ahl-e-Khana Ne Use Khuwab Mein Buri Halat Mein Dekha To Usse Puchha
"Tera Kya Haal Hai"
◆To Abu- Lahab Ne Kaha
"Maine Tumhare Baad Koi Bhalaa'ee Nahi Payi Lekin Mujhe Us Ungli Se Paani Diya Jata Hai Is Se Maine Hazrat Muhammad ﷺ Ki Wiladat Ki Khushi Mein Sobiya Ko Aazad Kiya Tha"
Ref (Sahih Bukhari, Vol. 1, Page 153, Hadith No 5101, Kitaabun Nikaah)
◆EID MILAD UN NABI ﷺ KA AHTAMAM OR KHUSHI ZAHIR KARNEY WALO K LIYE KHUSHKHABRI HAI K WO JANNATI HAI....●EID MILAD UN NABI ﷺ
Ka Bare Me KHULFA E Rashideen Ka Qual:
◆HAZRAT-E-SIDDIQ-E-AKBAR RADIYALLAHU TA'ALA ANHU NE FARMAYA KE JISNE NABI KARIM ﷺ KE MILAD PAK PAR 1 DIRHAM BHI KHARCH KIA WO JANNAT ME MERE SAATH HOGA....
◆HAZRAT-E-UMAR FAROOQ-E-AAZAM RADIYALLAHU TA'ALA ANHU NE FARMAYA KE JISNE IMAMUL AMBIA ﷺ
KE MILAD PAK KI TAZEEM KI US NE ISLAM KO ZINDA KIA.
◆HAZRAT-E-USMAN GHANI RADIYALLAHU TA'ALA ANHU NE FARMAYA K JISNE SAYEDUL AMBIA ﷺ K MILAD PAR 1 DIRHAM BHI KHARCH KIA GOYA KE WO BADR WA HUNAIN K JIHAD ME SHARIK HUA.
◆Maula-E-Qainaat Hazrat Ali Radiyallahu Ta'ala Anhu Farmate Hai Jo Koi Milad un Nabi ﷺ Ki Ta'azeem Aur Us Per Kharch Kare Wo Dunya Se Imaan K Sath Jayega
OR Bagair HISAB K JANNAT ME DAKHIL HOGA
Ref (Anneamt ul kubra Alal Aalam,Page 7 to 12)
◆AALAHAZRAT AUR TARIKH-E-WILADAT-E-NABI Sallallaho Alaihe Wasallam:◆AalaHazrat per Ilzam lagane wale Batil Kehte hain ki AalaHazrat ne Fatawae Razviya me Nabi ﷺ ki wiladat 8 Rabiul Awwal hi likhi hai,
◆Ye ek Jhuta Ilzam hai,.
Aur Batilo ki Makkari hai.
◆Humare Pas Fatawae Razviya ka page Moujud hai agar Batil Sacche hai To Scan Page Pesh Kare jisme Ala hazrat ne 8 Tarikh Likhi ho Dekho Ala hazrat ne Kya likha Hai...
◆AalaHazrat ne tamam Aqwal ko shumar kiya, ki Wiladat par 2, 8, 10, 12, 17, 22 tarikh ke aqwal bhi maujud hain,...
◆Fir iske baad Mawahibul Laduniya aur Madarijun Nabuwwa ke Hawale se 12 Rabiul Awwal ko hi mash'hur aur zyada sahi qarar diya hai,
Ref (Fatawae Razviya, J-26, Pg.411)
◆Andhe BATILL,Dekho Fatwae Razviya me kya likha hai??
◆MILAD-UN-NABI (صلى الله عليه وآله وسلم) KI TARIKH 12 RABIUL AWWAL HI MUTAWATIR AUR MASH'HUR HAI:
◆Kuch BATIL ye Daawa karte hain ki Nabi ﷺ ki wiladat 12 tarikh ko nahi hui, Sirf Wafat 12 Tarikh ko hui hai,
◆Inshaaallah Agle Parts Me Hum yahan aap logo ko dikhaenge ki Saheeh Hadees se bhi sabit hai ki Nabi (صلى الله عليه وآله وسلم) ki Wiladat 12 Tarikh hi mash'hur hai,..
◆HUZUR ﷺ NE BHI APKI WILADAT PAR SHUKR MANAYA.....
◆Huzoor E AQDAS صلى اللـه تعالى عليه وسلم Ne Apne Baaz Sahaba Ko Yaume Milad Par Allah Pak Ka Shukr Ada Karne Ki TALQEEN Farmai...◆Aap Khud Peer Ke Din Tashakkur Ka Roza Rakhte.
◆Chunancheh Hazrat Abu Qatadah رضی اللہ تعالٰی عنہ Ne Aap Se is Rozah Ke Bare Me Pucha To Farmaya."Is Roz Meri Wiladat Hui Aur Isi Roz Mujh Par Wahi Nazil Hui....
Ref {Sahi Muslim, Bawahala Alhadi LIL Fatawa Suyuti, Volume-1, Page-194}
"Qurban Aye 2 Shambe Tujh Par Hazar Jumye-Wo Fazl Tune Paya Subhe Shabe Wiladat.!!!!
{Ustaze Zaman Allama Hasan Raza Barelvi رحمه اللہ تعالٰی)...
◆Jhande Lagana:
◆Hazrate Aminaرضی الله عنہ Farmati Hain Ke Jab Mere Batan Se Muhammad Sallallaaho Alayhe Wasallam Ki Wiladat Hui Us Waqt Hazrate Jibrail Alaihissslam Ne 3 Jhande Nasab Kiye..●Ek 🇩🇿 Magrib Me,
●Ek 🇩🇿 Mashrik Me Aur
●Ek 🇩🇿 Kabe Ki Chhat Par.
◆Is Riwayat Ko Shah Abdul Haq Muhaddithe Dahelvi Rahamatullah Alayhi Ne Apni Kitab Madarijun Nabuwa, Jild-2
Me Naqal Kiya Hai.
Ref (Madarijun Nabuwa, Jild-2 )
◆Ruhul Amee Ne Gaada Kaabe Ki Chhhat Pe Jhandaa...
Taa-Arsh Udaa farairah Subhe Shab-e-Wilaadat..
