Hamare Nabi ki Seerat Hamare Nabi ke Aamad Ka Zikr Quran w Hadees ki Raushni Mein. ◆PART :- 06
Hamare Nabi ki Seerat Hamare Nabi ke Aamad Ka Zikr Quran w Hadees ki Raushni Mein.
◆PART :- 06
◆Jhande Lehrana kiski Sunnat ?
●Reference No.01...
◆Hazrate Amina رضى الله تعالى عنه
farmati hain ki,
◆"Jab Muhammad ﷺ Ki Wiladat Hui Us waqt Hazrat Jibrail علیہ السلام Ne 3 Jhande Nasab Kiye Ek Magrib Me Ek Mashrik Me Aur Ek Kaabe Ki
Chat par"
◆Is Riwayat Ko Shah Abdul Haq Muhaddith Dahelvi ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه Ne Apni Kitab "Madarijun nabuwa" Jild 2 Me Naqal Kiya Hai....
●Reference No.02..
◆Hadees Shareef main aata hai k jub SARKAR ﷺ Madina shareef main dakhil hue to Aap ke haath main sabz jhanda tha.
Ref (Wafa al wafa, Vol:1, Pg:243).
●Reference No.03...
◆Huzoor ﷺ ki peydaish per Hazrat Jibraeel علیہ السلام ney jhandy garhey.
Ref (Khasais Al qubra, Vol:1, Page:82)
◆Naat-e-Mustafa ﷺ Padhna kiski Sunnat ?
●Reference No.01...
◆Huzoor ﷺ Hazrat Hassan رضی الله عنہ ke liye Masjid-e-Nabawi shareef me Mimbar rakhte or Hazrat
Hassan رضی الله عنہ us par khade ho kar Huzoor ﷺ ki shaan-e-aqdas me naatia ashaar padhte the or Huzoor ﷺ farmate:
◆'Jab tak Hassan mere baare me Naatia or fakharia ashaar padhta rahe ga to beshak Allah taala roohul uqdas {Hazrat Jibrail (عليه السلام)} ke zarye Hassan ki madad farmata hai'!"
Ref (Sunan abu Dawood,Kitab ul adab, baab ma jau fi'shaar, Jild 5 Page 176 Hadith No.5015)
Ref (Sunan Tirmizi,kitab ul-adab,baab ma jau fi inshad'shaar, Jild 3 Page562,561 Hadith No 2846)
●Reference No.02...
◆Hadees main hai ki ek SAHABI رضی الله عنہ ney arz ki ke mujhe Huzoor ﷺ ki wo waali naat sunao jo torait main hai".
Ref (Mishkaat shareef, babul fazail, syed-ul-mursaleen, Pg:512)
◆Kya ab bhi Naat na padhoge
Sahaba Ikraam ki Sunnat par Amal naa karoge ?
