Hamare Nabi ki Seerat Hamare Nabi ke Aamad Ka Zikr Quran w Hadees ki Raushni Mein.
Hamare Nabi ki Seerat Hamare Nabi ke Aamad Ka Zikr Quran w Hadees ki Raushni Mein.
◆PART :- 07
◆Riwayat No.01..
◆HAZRAT-E-FATIMA BINTE ABDULLAH رضى الله تعالى عنه farmati hain,
◆ "Huzoor ﷺ Ki Wiladat Ke Waqt Maine Sitaaro Ko Dekha Ke Aasman Se Niche Utar Aaye Hai"
Ref (MAWAHIBUL LADDUNIYA,
Jild-1,Safa-22)
●Riwayat No.02....
◆HAZRAT-E-FAATIMA BINTE ABDULLAH رضى الله تعالى عنه
Farmati hain,
◆"Huzoor ﷺ ki wiladat ke waqt maine dekha ke saara Ghar Noor se pur tha"
Ref (HUJJATULLAHI ALAL AALAMIN SAFA-227)
◆Riwayat No.03...
◆"Aaqa ﷺ ki wiladat ke waqt aap ki walida ke pass Aasman se 4 Auratein aayi,
1.Hazrat HAWWA..
2.Hazrat SAARA..
3.Hazrat HAAJRA..
4.Hazrat AASIYA"
Ref (TAFSIR-E-ALAM NASHRAH S.95)
●Riwayat No.04...
◆Aap ﷺ ki wiladat ki khushi main Allah Kareem ne us din/raat Tamam Maaon ko betay ki khushi say nawaza.
Ref (KHASAIS UL KUBRA, Jild 1, Page 117)
Ref (ANWAR E MUHAMMADIYA, Page 22)
Ref (SEERAT UL HALBIA, Jild 1, Page 78)
Ref (MAWAHIB UL LADDUNYA, Jild 1,)
Nisaar teri chahel pahel par hazaaro eiden Rabi’ ul awwal,
Siwa e Iblees ke sabhi to khushiyan mana rahe hain.
◆Munqirin ne Eid-e-Milaad-e-Mustafa ﷺ ke jahilana Aitraaz ke jawabat....
●Question-01..
◆Milaad manana Biddat hai...
Kya Sahaba ne Kabhi milad manaya hai jaise aap log manate ho ?
●Answer-01..
◆Watch/download this Video from Youtube
◆"Allama Kokab Noorani Okarwi 12th Rabi ul awal"
◆Is Video me kuch points jo Allama Sahab farmate jiski mafum hai,...
◆Biddat ki definition hi nahi pata munqirin ko Aise lakhon kaam hai jo Sahaba ne nahi kiya tum karte ho...
◆Agar aisi chiz biddat hai jo Aaqa-e-Kareem ﷺ ke zamane me nahi thi aur ab hai toh kya Tum the us zamane ???
(Yaani tum to khud Chalti phirti biddat ho)".
●Question-02
◆Agar Milaad-un-Nabi ﷺ ka din Eid hai toh phir Hamara is din Roza rakhna kaisa kyunki Eid ke din toh Roza nahi rakha sakte ???
●Answer-02..
◆Beshak Aaqa-e-Kareem ﷺ ki wiladat ka din Eid hai.
◆Hadeeson me Jumma ke din ko Eid kaha gaya hai...
◆"Juma’a ka din sab dino ka sardar hai,
ALLAH ke nazdik sabse bada hai aur wo ALLAH ke nazdik "Eid-ul Azha" aur "Eid-ul Fitr" se bada hai.."
Ref [Sunan Ibne Majah, Jild 2, Page No. 8,Hadith No. 1084]
◆Ramzan Sharif me 4-5 Jumma aate hain magar is se Rozon ki farziyat par koi farq nahi padhta aur na hi waise Jumma ke din roza rakhne me koi harj hai....
◆Isliye Eid-Milaad-Un-Nabi ﷺ ke din bhi Roza rakhna jaiz hai.
◆Bhaiyon behtar yeh hi hai ki hum bhi Eid-e-Milaad ka din Roza rakhkar Guzarein ki yeh Sahaba Ikram ki bhi Sunnat hai,....
◆"Sahaba Aur Tabain Aur Digar Ahle Islam Ne Peer Ke Din Ka Roza Rakh Kar Bhi Milaad Manaya"
