Hamare Nabi ki Seerat Hamare Nabi ke Aamad Ka Zikr Quran w Hadees ki Raushni Mein. ◆PART :- 05
Hamare Nabi ki Seerat Hamare Nabi ke Aamad Ka Zikr Quran w Hadees ki Raushni Mein.
◆PART :- 05
◆Juloos E Milad Un Nabi Nikalna kis ki Sunnat?
◆Aaiye Dekhte Hai Milad Un Nabi (ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم) Ke Mauke Nikale Jane Wale Juloos ke Mustahab Amal Hadith Ki Roshni Me.
◆Pehle hum kuch point note kar lete hain ki juloos me hota kya hain.
◆Naat padhi jaati hai jis me Aaqa-E-Karim (ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم)
ki Shaan aur Azmat ka bayan kiya jaata hai.
◆Khushi mein Jhandey lehraye jaate hain.
◆Log Ikhatte jama hote hain aur Naare lagaye jaate hain.
◆"Hum (Sahaba Ikram) Sab Apne Bachcho Samet Huzoor Ke Istiqbal Ke Liye Wida Ki Ghatiyo Tak Gaye"....
Ref (Bukhari Jild 1, Safa 543)
◆Jab Aaqa (ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم) Hijrat Kar ke MADINA Sharif Aaye To Logon Ney Khoob Jashan Manaya Naw-jawan Ladke Apni Chatton Par Chadh
Kar Aur Ghulam, Khuddam Raasto Me Phirte the Aur Nara'Aey Risalat Lagate Aur Kehte
"Ya RasoolAllah" (ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم)
Ref (Sahih Muslim Jild 2 Page 419)
◆Magar yeh sab karne se hota kya hai ?
◆Aaqa-e-Karim ki Sifaat aur Azmat ka bayan Sunana aur sunna khud ALLAH عزوجل aur uske Ambiya (عليه السلام) ki Sunnat hai.
◆Chunanche ALLAH عزوجل Quran main woh waqaya bayan fermata jub Huzoor (ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم) ka zikr kia gaya toh tamaam ambiya (عليه السلام) ko ikatha kia gaya aur Huzoor (ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم) ki sifaat Allahعزوجل ne Ambiya (عليه السلام) ko ikatha ker ke Khud bayan fermayein
Ref (Sura Al-Imran:81).
◆Lihaza yeh sabit hua ki logon ko ikattha kar ke Huzoor (ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم) ki sifaat bayan kerna Quran sey sabit hai....
●NOTE:-
■MILAD ME MUSIC AUR D.J KE SATH NIKALNE WALE KHURAFAT BHARE JULOOS SE AHLE SUNNAT WA JAMAT KA KOI TALL'UK NAHI..
■AURTO KO PARDE KA HUQM HAI AUR BINA VAJAH GHAR SE NIKALNA SHRIYAT ME MANA HAI WO HUM ME SE NAHI JO ESE KHURAFAT BHARE JULUS ME SHAMEEL HO....
