Khawateen e islam ke liye zaroori islami masaile auraton ke zaroori masaile. PART- 02


Khawateen e islam ke liye zaroori islami masaile auraton ke zaroori masaile.

PART- 02

◆HAIZ (Menstrual Cycle) KA BAYAAN


●ALLAH T'AALA irshad farmata hai :-


◆Tarjama :-


◆Aye MAHBOOB tumse haiz ke baare me log sawal karte hain tum farma do woh Gandi cheez hai,

◆To Haiz me Auraton se bacho aur unse Qurbat (Humbistari) na karo jab tak paak na ho lein,

◆To jab paak ho Jayein Unke paas us jagah se aao jiska ALLAH ne tumhe hukm diya beshak ALLAH dost rakhta hai touba karne walon ko aur dost rakhta hai paak hone walon ko "

◆HADEES NO. 01 


◆SAHI MUSLIM me ANAS IBNE MAALIK RADHIYALLAHU T'ALA ANHU se marwi ki farmate hain ki Yahoodiyon me jab kisi Aurat ko haiz (M C) Aata to use na apne sath khilaate aur na apne Gharon me Rakhte,

◆SAHABA E KIRAM ne HUZOOR E AKRAM SALLALLAHU T'ALA ALEIYHI WASALLAM se puchha us par ALLAH T'ALA ne.

◆" wa yas, aaloo naka A'anilmaheedhi "

◆Nazil farmaai to RASOOLULLAH SALLALLAHU T'ALA ALEIYHI WASALLAM ne irshad farmaya ki jimaa (humbistari) ke siwa har cheez karo,

◆Iski khabar yahoodiyon ko pahunchi kahne lage yeh [NABI SALLALLAHU T'ALA ALEIYHI WASALLAM]
Humari har baat ke khilaaf karna chahte hain,

◆Us par USAID IBNE HUZAIR Aur IBAAD IBNE BISHAR RADHIYALLAHU T'ALA ANHUMA
ne aa kar arz kiya ki "

◆Yahoodi aisa aisa kahte hain to kya hum unse jimaa na karein
(ki puri mukhalafat ho jaye)
RASOOLULLAH SALLALLAHU T'ALA ALEIYHI WASALLAM ka mubarak chehra badal gaya yahan tak ki humko Guman hua ki HUZOOR ne un 2no par gazab farmaya,

◆Woh 2no chale gaye aur Unke peechhe Doodh ka Hadiyaa NABI SALLALLAHU T'ALA ALEIYHI WASALLAM ke paas aaya,

◆HUZOOR ne Aadmi bhej kar unko bulwaya aur Doodh Pillaya to woh samajhe ki HUZOOR ne un par gazab nahi farmaya tha.

Ref (Bahare shariat/Hissa 2, page 91)


◆HADEES NO. 2 :-


◆SAHIH BUKHARI me hai UMMUL MOMINEEN AYESHA SIDDEEQA RADHIYALLAHU T'ALA ANHA farrmati hain ki hum Hajj ke liye nikale jab saraf
(Makka Shareef ke paas ek jagah ka naam)
me pahunche to mujhe haiz (M C) Aaya to Main ro rahi thi ki HUZOOR SALLALLAHU T'ALA ALEIYHI WASALLAM mere paas tashreef laye
farmaya
" Tumhe kya hua,
Kya tumhe haiz aaya?
Arz ki " haan,
farmaya "
Yeh ek aisi cheez hai jisko ALLAH T'ALA ne AADAM ki ladkiyon (Girls) ke liye likh diya hai..

Tum KHANA E KA'ABA ke Tawaaf ke Siwa sab kuch Adaa kar sakti hai
Jise hajj karne wala adaa karta hai,

Aur farmati hain ki HUZOOR Ne apni Biwiyon ki taraf se ek Gaay (Cow) Qurbani ki.

Ref (Bahare shariat/page 91-92)


◆HADEES NO. 3 :-


◆BUKHARI SHAREEF me hai ki URWA se sawaal kiya gaya ki kya haiz wali Aurat meri khidmat kar sakti hai?

◆URWA ne jawab diya
" Yeh sab mujh par a
Aasan hai aur yeh sab meri khidmat kar sakti hain aur kisi par isme harz nahi,
mujhe.

◆UMMUL MIMINEEN AAISHA SIDDEEQA RADHIYALLAHU T'ALA ANHA
ne khabar di ki woh haiz ki haalat me HUZOOR SALLALLAHU T'ALA ALEIYHI WASALLAM ke khangha karti aur HUZOOR Etikaaf me the,

◆Aur Apne sar ko unke q
Qareeb kar dete aur yeh apne hujre (Room) hi me hoti,.

Ref (Bahare shariat /Hissa 2/ Page 91-92)


◆Yeh Bayaan jo bhi diya jaa Rahaa hai Ye h Auraton ke liye khaas hain...

  ◆ TO BE CONTINUE...

Popular posts from this blog

कलौंजी और शहद के फायदे क़ुरआन व हदीस की रौशनी में

AKHIRI NABI MUHAMMAD SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA BAYAN

MARIZ KA NAFSIYATI ( Saicological ) ILAAZ