Khawateen e islam ke liye zaroori islami masaile auraton ke zaroori masaile
Khawateen e islam ke liye zaroori islami masaile auraton ke zaroori masaile.
PART- 01
◆ zarooriyate Deen kya he??
◆ zarooriyate deen un cheejo ko kehte hai jinka Huzur sallallahu Alaihivasallam ke deen se hona qatai or yaqeeni ho or had tawatar Shohrate aam tak pahunch chuka ho, Hattaki Awam bhi jaante ho k ye cheeze Nabi sallallahu Alaihivasallam ke deen se hai,
◆Jese: - Toheed, Risalat, Khatme nabuwat, Hayaat, Ba'adal maut, Saza or Jaza, Namaz, Roza, hajj, zakaat ki farziyat, Sharab or Sood ki hurmat, etc, ..
◆Fitrate Deen kya he??
◆ Insaan me pedaisi salahiyat or ahliyat k wo bager kisi mahol ke asar ke deen islam ki cheejo ko qubool kar le,
Ref { Khwateen ke Fiqhi Masayal, Safa no 40 }
◆ Aurte apne khawind ke janaze per chudiya todti hai, Kya ye shariyat ka hukm he,??
◆ Chudiya todkar Jaaya karna galat baat he,Shariyat ka Koi hukm nahi he, Utaar kar rakh Lena chahiye, jab iddat khatm ho jaye fir pehan le,
◆Rivaaj he k kamsin doodh pite bachche ki wafaat per masoom bachche ko maa doodh bakhshti he, iski asal kya he? or sharai haqeekat kya he??
◆ Doodh ka bakhshna be asal he, koi shariyat nahi,
Wallahu Aalam
Ref Khwateen ke Fiqhi Masayal' Safa no, 43 }
◆Jab koi nek mard intekal karta he to use jannat me 70 hoore khidmat ke liye di jayegi, lekin jab koi aurat intekal karti he to usko kya diya jayega???
◆ wo apne jannati shohar ke saath rahegi or jannat ki hooro ki Sardar hogi, Jannat me sabki umar or Qad barabar hoga aur badan har aib se paak hoga,
or jin khawateen ka pehla nikah nahi hua unka jannat me kisi se nikah kar diya jayega, Beharhal Duniya ki jannati aurat ka darza jannat ki hooro se bada hoga,
◆Aurat jab sar me kanghi karti he to aurte apne gire hue baalo ka kya kare???
◆ Aurat ke sar ke baal bhi satar me dakhil he or Jo Baal kanghi me aa jate hai unka dekhna bhi na -mehram ke liye jayaz nahi, isliye baalo ko fekna nahi chahiye balki kisi jagah mitti me daba dena chahiye,
Ref { Khawateen ke Fiqhi Masayal, Safa no. 44
◆Awam me mashoor he k jab tak Juma ki namaz Masjide me khatm na ho jaye, masturaat ( female) gharo me Zuhar ki namaz na pade, iski shar'an kya asal he??
◆ iski koi asal nahi he balki galat he, Massturaat namaze juma se pehle ( jab waqt ho jaye) zuhar per sakti hai,
◆Aurto ka avval waqt me namaz Ada karna afzal he,
◆Baaj logo ka khahal he k esi aurte Jo apne khawind ke intekal ke baad zinda rehti hai, wo badbakht he, or Jo aurat apne khawind ke pehle intekal kar jati hai wo khush naseeb hai,???
◆ Khush bakhti or badbakhti ka daromadar to aadmi ke apne achchhe or bure amaal per he, pehle ya baad me marne per nahi,
●Baaj aurte namak se Aftaar karti hai or namak se aftaar ko sawab samajhti hai, kya is tarah namak se aftaar ka aqeeda sahi he??
