Hamare Nabi ki Seerat Hamare Nabi ke Aamad Ka Zikr Quran w Hadees ki Raushni Mein
Hamare Nabi ki Seerat Hamare Nabi ke Aamad Ka Zikr Quran w Hadees ki Raushni Mein
◆PART :- 02
◆Aap ﷺ ne aapna Milaad manaya ?Aur Huzur ﷺ Ne Apne milaad ke mutallik kya farmaya ?
◆"Aayiye aapke saamne ek Hadees pesh karta hun Aapne Pyaare Aaqa ﷺ ke Meharban hone ki,
◆Chunanche Aaqa-e-Kareem ﷺ ka farman magfirat Nishan hai,
●"Jisne Mujh par 100 martaba Durood-e-Paak padha Allah uski dono aankho ke darmiyaan likh deta hai ki Ye Nifaaq aur Jahannam ki aag se Aazaad hai aur use Ba Roze Qiyamat Shohdaa ke saath rakhega."
Ref {Majmuazzawayad; Vol 10; Pg 253; Hadees 17298}
●Ab 100 baar durood sharif padhna kaunsi badi baat hai ?
Magar phir bhi Jahannam se nijaat ki basharat de di gayi ab yeh meharbani nahi toh kya hai ?
●Ab Aur kya-kya Reason chahiye tumhe aapne Pyaare Nabi ﷺ se Muhabbat karne ke liye aur unki ki Wiladat ki khushi Manane ke liye ?
◆Hadees No:- 01.
◆Hazrat Abu Qatada رضی الله عنہ Se Riwayat Hai,
Rasool-E-Karim ﷺ Se Peer Ka Roza Rakhne Ke Bare Me Sawal Kiya Gaya To Aap ﷺ
Ne Farmaya ki,
●"Isi Din Meri Wiladat Hui Aur Isi Din Mujh par Quran Nazil Hua"
Ref (Sahih muslim Jild 2.hadith no 819 .page1162)
Ref (Nasai al sunane kubra Jild 2 hadith 146,page 2777)
◆Hadees No:-02.
◆"Huzoor ﷺ Ke Zamane Me Masjid-E-NabwiMe Milaad Hui Isme Khud
Aaqa-e-Kareem ﷺ
ne Apni Wiladat Ke Fazail Bayan kiye."
Ref (Tirmizi Sharif, Jild 2 Safa 201)
◆Hadees No:-03.
●"Khud Nabi-e-Kareem ﷺ Ne Apne Milaad Par ALLAH عزوجل Ka Shukra Bajaa Lane Ki talkin Farmayi Aur Targib Di"●Hadees Taweel (badi) hai
Poori Tafseel Neeche diye gayi Hadeeson ki kitabon main check ki jaa sakti hai....
Ref [Muslim Sharif, Jild - 2, Safa - 819 ]
Ref [Nisaai Sharif, Jild - 2,Safa - 147 ]
Ref [Baihaqi Sharif, Jild - 4, Safa - 286]
◆Continue...Link ko click kare⬇️
https://za.gl/XpEYR2
