Hamare Nabi ki Seerat Hamare Nabi ke Aamad Ka Zikr Quran w Hadees ki Raushni Mein
Hamare Nabi ki Seerat Hamare Nabi ke Aamad Ka Zikr Quran w Hadees ki Raushni Mein
◆PART :- 01◆
◆Aaqa-e-Kareemﷺ ki wiladat kab hui ?
◆12 Rabi Ul Awwal Par Tamam Ulama E Islam Ka Ijma Hai K Is Din Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم Sare Alam K liye Rehmat Bankar Duniya Me Tashreef LayeAur Isi Din Sari Duniya Me Musalman Apne Nabi صلی اللہ علیہ وسلم Ki Wiladat Ka Jashan Karte Hai !
◆Ibn-e-Ishaq ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه
(85-151 Hijri):
Ref [Ibn Jawzi in al-Wafa, Page 87]
◆ Allama Ibn Hishamﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه(213 Hijri):
Ref [Ibn Hisham in As-Sirat-un-Nabawiya, Vol. 1,Page 158]
◆Imam Ibn Jarir Tabariﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه(224-310 Hijri):
Ref [Tarikh al-Umam wa al-Muluk, Vol. 2,Page 125]
◆Allama Abu al-Hasan Ali binMuhammad Al-Mawardiﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه
(370-480 Hijri):
Ref [Ailam-un-Nabuwwa, Page 192]
◆Imam Al-Hafiz Abu-ul-Fatah Al-Undalasi ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه
(671-734 Hijri):
Ref [Aayun al-Asr,Vol. 1, Page 33]
◆Allama Ibn Khaldun ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه (732-808 Hijri):
Ref [Ibn Khaldun in At-Tarikh Vol. 2, Page 394]
◆Muhammad As-Sadiq Ibrahim Arjoon ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه :
Ref [Muhammad Rasoolullah, Vol. 1, Page102]
◆Shaykh Abdul-Haq Muhadath Dehlvi ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه
(950-1052 Hijri):
Ref [Madarij-un-Nabuwwah,Vol. 2, Page 14]
◆Imam Qustallani ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه
Ref [AlMuwahib al Laduniya, Vol. 1, Page 88]
●Isse prove hua ki Aaqa-e-Kareemصلی اللہ علیہ وسلم
ki wiladat 12 Rabi Ul Awwal ko hi hui...
◆Quran kya Farmata hai ?
◆Al-Quran....
◆“Tum Farmao ALLAH Hi Ke Fazal Aur Usi Ki Rehmat Aur Ushi Par Chahiye Ke Khushiya Kare..."
Ref (Surah Yunus Ayat 58)
◆Is Ayat Me Allah Ne Apne Fazal Aur Apni Rehmat Par Khushiya Manane Ka Hukm Diya hai !
◆"Aur Humne Tumhe Na Bheja Magar Rehmat Sare Jahan Ke Liye"....
Ref (Surah Ambiya Ayat 107)
◆Is Ayat Me Allah Apne Pyare
Nabi صلی اللہ علیہ وسلم Se Farma Raha Hai K Humne Tumhe Sirf 1 Ya 2 Aalam K Liye Nahi Balki Sare Aalam K Liye Rehmat Bana Kar Bheja Yaha Gour Kare Allah Ne Nabi صلی اللہ علیہ وسلم Ko Rehmat Kaha hai Aur Jo Paheli Ayat Pesh Ki Gai Hai Usme Allah Ne Apni Rehmat Par Khushi karne Ka Hukum Diya Hai....
◆Jo In Ayaton Ka Munkir Honga Jo Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Ko Apne Liye Allah Ki Rehmat Aur Nemat Nahi Samajta Wo Nabi E Pak صلی اللہ علیہ وسلم Ki Wiladat Ki Khushi Se Aitaraz Karega Yani Wo Ghum Manaega Nabi صلی اللہ علیہ وسلم Ki Wiladat par magar hum toh khushiyan hi manaenge !
