Hadees ki raushni me achche akhlaq ki fazilat achche akhlaaq ki fazilat aur islam


Hadees ki raushni me achche akhlaq ki fazilat achche akhlaaq ki fazilat aur islam.

●NEKI ACHCHE AKHLAQ KA NAAM HAI 


◆Mahfum-e-Hadees: Nawas Bin Samaan Ansari (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Maine Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Se
Neki Aur Gunaah Ke Baare Me Poocha Tou Aap Ne Farmaya 

“Neki Ache Akhlaaq Ka Naam Hai Aur Gunah Jo Tere Seeney Me Khatke
Aur Tujhe Pasand Na Ho Ke Log Usey Jaaney.”

Ref  (Sahi Muslim 2553)

◆KAAMIL IMAN KI ALAMAT 


◆ Mahfum-e-Hadees: Abu Huraira (Razi’Allahu Anhu) Farmate Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –
“Momino Me Iman Ke Aitbar Se Sabse Kamil Shakhs Wo Hai Jiske Akhlaaq Sabse Acche Hai.”

Ref  (Abu Dawood 4682)

◆ROZEDAAR AUR TAHAJJUD GUZAR JAISA MAQAAM 


◆Mahfum-e-Hadees: Maayi Ayesha(Razi’Allahu Anha) Farmati Hai Ke,
Maine Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ko Ye Farmate Huwe Suna 
“Momin Apne Achche Akhlaaq Se Rozedar Aur Tahajjud Guzar Ka Darja Hasil Kar Leta Hai.

 Ref (Abu Dawood 4798) 

◆MEEZAN (TARAZU) MEIN WAZNI CHEEZ 


● Mahfum-e-Hadees: Abu Darda (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –
“Meezan Me Achche Akhlaaq Se Zyada Bhari Cheez Koi Nahi.”

Ref  (Abu Dawood 4799)

◆JANNAT KI ZAMANAT 


◆Mahfum-e-Hadees: Abu Umama (Razi’Allahu Anhu) Farmate Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya 

●Main Jannat Ke Atraf Me Ek Ghar Ka Zaamin Hoon Uss Shakhs Ke Liye Jo Haq Pe Hone Ke Bawjood Jhagda Chod Dey !!

●Aur Jannat Ke Darmiyan Me Ek Ghar Ka Zaamin Hoon Uss Shakhs Ke Liye Jo Mazaaq Me Bhi Jhoot Bolna Chod Dey !!

Aur Aala Jannat Me Ek Makan Ka Zaamin Hoon Uss Shakhs Ke Liye Jisne Apna Akhlaq Acha Kiya.

 Ref (Abu Dawood 4800)


◆JANNAT ME DAKHIL KA SABAB 
● Mahfum-e-Hadees: Abu Huraira (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Se Pucha Gaya Ke 

“Kis Amal Ki Wajah Se Log Zyada Jannat Me Dakhil Honge ?”


●Aap Ne Farmaya – “Allah Ka Khauf(Taqwa) Aur Husn-e-Akhlaq Se,..”
Phir Pocha Gaya “Zyada Tar Log Jahannam Me Kin Aamal Ki Wajah Se Jayenge ?”
Aap Ne Farmaya – “Monh (Yani Zubaan) Aur Sharmgah Ki Wajah Se.”

Ref  (Tirmizi 2004)


●RASOOL’ALLAH SE NAZDEEKI KA SABAB 


● Mahfum-e-Hadees: Jabir (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya,
“Qayamat Ke Din Mere Nazdeek Tum Me Se Sab Se Zyada Mehboob Aur Khareeb Baitne Waley Log
Wo Hongey Jo Behtreen Akhlaaq Waley Hain.”

Ref  (Tirmizi 2018)

Popular posts from this blog

कलौंजी और शहद के फायदे क़ुरआन व हदीस की रौशनी में

AKHIRI NABI MUHAMMAD SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA BAYAN

MARIZ KA NAFSIYATI ( Saicological ) ILAAZ