Posts

Showing posts from September, 2018

झूटी क़समें खाने वाले, बिज़नेसमैन (ताजिरों) के बारे में अल्लाह के रसूल ने क्या फ़रमाया….

Image
झूटी क़समें खाने और हराम करने से ना बचने वाले, बिज़नेसमैन (ताजिरों) के बारे में अल्लाह के रसूल ने क्या फ़रमाया…. अच्छे और बुरे ताजिर (Businessman) का हश्र क्या होगा ….. जानिए हदीस- अबू सईद रज़िअल्लाह अन्हु से रिवायत है की, रसूलअल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया….. “बहुत सच्चे और ईमानदार ताजिर (Businessman) का हश्र नबियो , सिद्दिक़ो और शहीदों के साथ होगा” हवाला (तिर्मिज़ी जिल्द – 2 सफहा – 229) हदीस – अल्लाह के रसूल सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम एक और रिवायत में फरमाते है…. “क़यामत के दिन बुरे ताजिरों का हश्र नाफ़रमानो के साथ होगा, मगर जो ताजिर अल्लाह तआला से डरते हुए हराम से बचे, झूटी क़सम न खाये और सच बोले तो उसका हिसाब-ओ-किताब अम्बियों के साथ होगा” हवाला (तिर्मिज़ी जिल्द -1 सफहा -230)

MAUT KO KASRAT SE YAAD KIYA KARO

Image
MAUT KO KASRAT SE YAAD KIYA KARO HADEES E MUBARAKA Farmane Mustafa (صلی اللہ علیہ وسلم)  Hai Ke, “Lazzaton Ko Khatm Karne Waali Maut Ko Kasrat Se Yaad Kiya Karo”.- Ref ( Sahih Bukhari ) HADEES E MUBARAKA Hazrat Abu Hurera(Razi Allaho Anhu) Ne Kaha Ke,(صلی اللہ علیہ وسلم) Ne Farmaya Ke, “Tum Me Koi Mout Ki Aarzoo Na Kare (Isliye Ke) Woh Ya Toh‘ Nekokar’ Hoga, Toh Mumkin Hai Iss Ke Nek Amal Me ‘Ziyadati’ Ho Jaye. Aur Ya ‘Badkar’ Hoga, Toh Ho Sakta Hai Ke Aainda Tauba Kar Ke Allah Ki ‘Khushnoodi’ Haasil Karle”. Ref (Bukhari Shareef ,Anwar-Ul- Hadees, Page Number 226)   QAUL-E-MUBARAK “Mout Ko Hamesha Yaad Rakho, Magar Mout Ki Aarzoo Kabhi Naa Karo”.  ☆Hazrate Umar (Razi Allaho Anhu)  QAUL-E-MUBARAK “Mout Ko Yaad Rakhna Nafs Ki Tamaam Bimaariyo Ki Dawaa Hai”.   Hazrate Gaus-E-Aazam(Rahmatullah Alayh) ☆"ALLAHUMMA SALLIALA SAYYEDNAMUHAMMADIM BIADADI KULLIZIKARIHI ALFA ALFI MAR-RATIN" मौत को कसरत ...

Mangni ke Dauran Ladka aur Ladki ek Dusre ko Ring pehnay Ya Shariat Mein Haram hai.

Image
Mangni ke Dauran Ladka aur Ladki ek Dusre ko Ring pehnay Ya Shariat Mein Haram hai. Mangni Ke Douran Ladka Aur Ladki Ek Dusre Ko Ring 💍 Pehnay Ye Shariat Mein Haram Hai. Isse Bache Aur Rishto Ki Shurwat Haraam Kamo Se Na Karen. Shadiyo Me Gane Ki Is Gandi Or Mardud Rasm Me Kunwari Ladkiya Bhi Sharik Hoti He Aur Be-haya, Be-gairat, Khabis Be-sharm Mard Ise Jaez Mante He.  »► Shaadi Me Beti/Bahan Ke Sohar Ko Sone (Gold) Ki Anguthi 💍(Ring) Hargiz 🎁 Gift Na Karey Aur Na Pahenayen. ° Mas’ala ° Mard Ko Sone Ki 💍anguthi Pahenna Haram, Tamba Pital Loha In Dhaton Ki Mard Or Aurat Dono Ko Na Jaiz Hai Ref { Aalamgiri Vol-5, Page-295 } Allah Hum Sabhi Ko Najaiz Kamo Se Bachaye Aameen Summa Aameen Allah Ta’ala In Saare Masail Ko Hamen Samajhne Yaad Rakhne Aur Usse Bhi Zyada Amal Ki Toufiq Ataa Farmaye.. Aameen..

MOHARRAM UL HARAM

Image
MOHARRAM UL HARAM  PART:-03 ➡{20}SAWAL Muharram Me Sunniyo Ko Kale(Black) Kapde Pehenna Kaisa Hai.? ✔JAWAB:- A'ala Hazrat Radi Allaho Anhu Farmate Hai: Musalmano Ko Chahiye Ashra Mubaraka Me 3(Three) Rango Ko Pehenne Se Bache: 1.Siyah, 2.Sabz, 3.Surkh.. 📚فتاوی رضویہ شریف جدید ج24ص496 Hazrat Mufti Mohammad Khalil Khan Barkati Bhi Irshad Farmate Hai: Ayyam E Muharram Yani 1Muharram Se 12wi Muharram Tak Siyah Rang Na Pehna Jaye Qki Ye Rafziyo Yani Shiyao Ka Tarika Hai..  📓 ماخوذ از سنی بہشتی زیور،حصہ پنجم ص575  Moharram Shareef Me Kale Kapde Pehenna Shiyao Ka Tarika Hai Aur Sog/Gham Ki Alamat Hai Isliye Ulma Farmate Hai: Ke Siyah Libas Pehenna Se Musalman Bache Taki Koi Dekh Kar Badghumani Na Kare Shia Na Samjhe Ha Ashra E Muharram Ke ilawa Kala Libas Pehenne Me Shar'an Koi Harj  Nahi Jaisa Ke Qanoon E Shariat Me Likha Hai, Siyah Kapde Pehenna Zahir Karne Ke Liye Na Ho To Mutlaqan Jaiz Hai.. 📓 قانون شریعت ص335 ➡{21}SAWAL. Musalmano Ka Muh...

MOHARRAM UL HARAM

Image
MOHARRAM_UL_HARAM PART:-02  {15}SAWAL:- Maidan E Karbala Me Hazrat E Sayyiduna Imaam E Hussain رضی الله  عنه Aur Unke Rufqa/Sathi Par Jo Zulm o Sitam Kiye Gaye Unhe Padhkar Ya Sunkar Dil Ghamgheen Ho Jaye, Aankhon  Se Aansu Chhalak Pade , To Kiya Ye Bhi Mana Hai.? ✔ JAWAB:-A'ala Hazrat Farmate Hai: Ji Nahi! Jaisa Ke Sarkaar E Do Aalamصلی الله علیه وسلم  Irshad Farmate Hai: Arre Sunte Nahi Ho Be Shak ALLAH Ta'ala Na Aansu Se Rone Par Azaab Kare Na Dil Ke Gham Par Aur Zuban Ki Taraf Ishara Karke Farmaya: Haa Ispar Azaab Hai Ya Reham Farmae Isko Bukhari Wa Muslim Shareef Ne Hazrat Abdullah Ibne Umar رضی الله عنہما Se Riwayat Kiya Hai: 📚 صحیح بخاری کتاب الجنائز باب البکاء عندالمریض، ج1ص174  Isi Tarah Fatawa Aalamgiri Me Bhi Hai Jameulmuzmirat Se (Buland Aawaz Se Rona) Aur Bin Karna (Islaam Me) Jaiz Nahi Leqin Baghair Aawaz Ke Rona Aur Aansu Bahana Mamnu/Mana Nahi.. 📚 فتاوی ہندیہ کتاب الصلاۃالفصل السادس ، ج1ص167 A'ala Hazrat Irshad F...

MOHARRAM UL HARAM

Image
MOHARRAM UL HARAM PART:-01 MOHARRAM_UL_HARAM PART:-01 ➡ {1}SAWAL:-Taziya Banana Aur Dekhna Kaisa Hai.?  ✔ JAWAB:-Sayyidi Sarkaar A'ala Hazrat Alaiyhi Rehma Irshad Farmate Hai: taziya ma.asiyat hai Taziya Banana Dekhna Jaiz Nahi..  📚 فتاوی رضویہ جدید ، ج16ص155،ج24ص489 ➡ {2}SAWAL:- Shariat Me Taziye Ki Asal Kiya Hai.?  ✔ *JAWAB:- Faramane A'ala Hazrat: Taziya Mamnu Hai Shariat Me Kuch Asal Nahi Aur Jo Kuch Bid'at Unke Sath Ki Jati Hai Sakht Na Jaiz Hai.. 📚 فتاوی رضویہ شریف جدید ، ج244490 ➡ {3}SAWAL:-Kiya Taziya Banana Kufr o Shirk Hai.? ✔ JAWAB:- A'ala Hazrat رضى الله عنه Farmate Hai: Taziya Zaroor Na Jaiz o Bid'at Hai Magar Kufr Nahi. Mazeed Ek Maqam Par Farmaya: Taziya Banana Shirk Nahi Ye Wahabiya Ka Khayal Hai Han Bid'at Gunah Hai- واللہ تعالی اعلم  📚 فتاوی رضویہ شریف جدید ،ج21ص221،ج24ص503 ➡ {4}SAWAL:- Taziye Ki Tazim Karna Shar'an Kaisa Hai.?  ✔ JAWAB:- A'ala Hazrat رضى الله عنه  Farmate Hai: Taziya Banan...

AAKHIRI UMMAT MEIN 73 FIRQE HONGE

Image
AAKHIRI UMMAT MEIN 73 FIRQE HONGE FARMAN-E-MUSTAFA (صلی اللہ علیہ وسلم) Hai, "Bani Israil 72 Firqo'n (Section) Par Mutafariq(Divide) Ho Gaye, Aur Meri Ummat 73 Firqo'n Par Mutafariq(Divide) Hogi. Siwaye 1-Firqa Ke Sab Ke Sab Aag(Jahannam) Mein Dakhil Honge"  Sahab-e-Karam (Radi Allahu Anho) Ne Arz Ki, "YA RASOOLULLAH! Wo Firqa Kaunsa Hai" Aap (صلی اللہ علیہ وسلم) Ne Farmaya: "Jis Par Main Hoon Aur Mere Sahaba Hain." Ref (Jamiya Tarimzi, Jild 2, Page No-231 )

Murde ki Maani hui Mannat ko pura karna 

Image
°°°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°  Murde ki Maani hui Mannat ko pura karna         Hazrat-e-Ibne Abbas radhi allaho anho bayan karte hain ki:Ek shakhs Nabi ﷺ ke paas aaya aur arz kiya:Meri bahan Haj karne ki mannat maani thi,Lekin use pura karne se pahle hi inteqaal kar gaee.(To kya main uski taraf se woh mannat pura kar sakta hun) Aap ﷺ ne farmaya ki:Bataao! Agar uske upar kisi ka qarz hota to tum use pura karte ya nahi? Us shakhs ne kaha: "Haan"  Aap ﷺ ne farmaya : To Allah ka qarz bhi ada karo.kyunki woh is baat ka ziyadah haq-daar hai ki us ka qarz ada kiya jaae. Ref { Sahi Bukhari,Hadees No.6699 }

Aashura 10 muharram ko roza rakhne ki fazilat aur hairan kardene wale fayede

Image
Aashura 10 muharram ko roza rakhne ki fazilat aur hairan kardene wale fayede Ashura (10 muharram) ka roza Hamare Rasool Mohammed Sallallahu Alaihi wa Sallam ki Sunnat hai. Aur Hamare Nabi Karim Sallallahu Alaihi wa Sallam ne apne ummatiyon ko 9 aur 10 ka roza rakhne kaha hai. Lehaja hame 9 aur 10 Muharram ya 10 aur 11 Muharram ka roza rakhna chahiye aur Humare Pyare Nabi Sallallahu Alaihi wa Sallam ki Sunnat par amal karna chahiye. Sab Rozo Mein Afzal Ramadan ka roza, aur uskey Baad Muharram Ka Roza hai. Abu Hurairah (Razi Allahu Ta’ala Anhu) Say Riwayat Hai Ke, Rasool Allah ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Sab Rozo Main Afzal Ramadan ka roza, aur Uskey baad Muharram Ka Roza Hain, Jo Allah Ka Mahina Hai Aur Baad Namaz-e-Farz Ke Tahajjud Ki Namaz Hain”. Red (Sahih Muslim , Vol 3, 2755) Abu Hurairah (Razi Allahu Ta’ala Anhu) Say Riwayat Hai Ke, Ek Sahib Rasool’Allah ﷺ (Sallallahu Alaihay asallam) Kay Khidmat Main Hazir Ho kar Arz Karne Lagey Ke, “Ramadan Kay Baad Sa...

Maqbool Dua

Image
MAQBOOL DUA HUZOOR NABI E KAREEM SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ka irsaad mubarak hain  سلوا الله من فضلہ فان الله یحب ان یسئل TARJAMA:-Yani tum log ALLAH se uske fazl ka suwaal kartey raho kiyon ki ALLAH ko yah pasand hai'n ki uske bande us se dua mangte rahe Ref { Mishkat shareef 195 } Aur yah bhi hadees shareef mein hain ki من لم یسئل الله یغضب علیہ TARJAMA:- Yani jo ALLAH se nahin mangta ALLAH TA'ALA usse naraaz ho jata hai'n Ref { Mishkat shareef 195 } اجیب دعواة الداع اذا دعان TARJAMA:- mai dua mangne wale ki dua kubool karta hoo'n jab wah mujhe pukare Ref { para 2-7 } ادعونی استجب لکم Mujhse dua mango main kubool farmaoonga Ref { 24-11 } HADEES: RASOOLALLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM farmatey hai ki dua Muslmano'n ka hathiyar hai'n aur deen ka sutoon aasman wa zameen ka noor Ref { Hakim } Irsaad farmaya HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne ki jab bala utarti hain fir dus kee jati hai'n tou dua us bala se ja milti ...

Shaan e Imam e Aazam رضي الله عنه Hazrat e Noumaan Ibne Saabit , 755

Image
Shaan e Imam e Aazam رضي الله عنه Hazrat e Noumaan Ibne Saabit , 755. بسم الله الرحمن الرحيم Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ  Aap ka naam Noumaan ibne saabit hai.  Aap ki kunniyat Abu Hanifa aur laqab Imaam e Aazam hai.  Aap ki wiladat 80 hijri ko kufaa mein huwi.  Aap ne kam o besh 30 Sahaba e Kiraam رضي الله عنهم ki ziyarat ki.  Aap ko 55 martaba hajj ki sa'adat mili. Ek baar aap Madina Munawwara pahuche aur Rauza e Anwar par hazir huwe to aap ne arz ki, "Assalaamu Alaikum ya Sayyedul Murseelin" to Muwaja e Aqdas se jawab mila "Walaikum Assalaam ya Imamul Muslimeen " Iss se pata chala khud Sarkar e Do Aalam ﷺ ne aap ko musalmano ka imaam farmaya hai. Ref {Tazkiratul Auliya, Safah no. 246. } Hum ahle sunnat ke liye yeh badi khushi aur gaur talab baat hai,  Hamare Rasool - Rasool e Aazam. Hamare Shaheed - Shaheed e Aazam. Hamare Imam - Imam e Aazam  Hamare Gaus - Gaus e Aazam.  Hamare Khwaja - Khw...

Zina karne ka Dardnak Azaab

Image
ZINA KARNE KA AZAAB Jisne Kisi Kunwari Ladki (Bachelor girl) Se Zina Kiya To Goya Usne 70,000 Hazaar Shadi-Shuda Auraton Se Zina Kiya..! Ref (Mukaashifatul Quloob-22 Shafa:- 169) ZINA KA AZAB CHAND KITABO KI ROSHNI ME.. Aaqa Alaihissalam ne farmaya Shirk ke baad Allah ke Najdeek is gunah se bada koi gunah nahi ke ek shaks kisi aurat se Sohbat kare jo uski Biwi Nahi Aur Jab koi Mard Aur Aurat jina karta hai to imaan unke seene se nikaal kar sar par saaye ki tarah thahar jata hai.. Ref (Mukashefatul kuloob Shafa:-168) Hazrat ikrema ne Hazrat Abdullah ibne Abbas Radiallahu anhu se pucha imaan kis tarah nikal jata he Hazrat Abdullah ibne Abbas ne farmaya is tarah Aur apne hath ki ungliya dusre hath ki ungliyo me dali fir nikal li aur farmaya Dekho is tarah.. Ref (Bukhari sharif Jild:- 3 Shafa:- 614 Hadees: 1713) Hazrat Abu huraira wa Ibne Abbas Radiallahu anhu se rivayat hai Sarkar-E-do aalam Sallallahu Alaihi wa aalehi Wasallam ne farmaya Momin hote hue to koi Zina kar...

Karz Se Chutkara Paane Ki Dua

Image
QARZ SE CHUTKARA PANE KI DUA Hazrat Ali Radiallahu Ta'Ala Anhu Se Riwayat Hai ki Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya ki Agar Tumhare Upar Bohat Hi Zyada Karz Ho To Bhi Allah Ta'Ala Tumhari Taraf Se Adaa Farma dega Tu Ye Dua Padha Karo Karz Se Nijaat Paane Ki Dua اللَّهُمَّ اكْفِنِي بِحَلَالِكَ عَنْ حَرَامِكَ، ‏‏‏‏‏‏وَأَغْنِنِي بِفَضْلِكَ عَمَّنْ سِوَاكَ "Allahummakfinee BeHalaleka An Harameka  Wa Aghninee BeFadhleka Amman Siwaka" Tarjuma: Aye Allah Mujhe Halaal Dekar Haraam Se Door Rakh Aur Mujhe Apne Fazal Se Nawazkar Apne Siwa kisi Aur Se Mangne Se Beniyaz Karde Ref (Jame Tirmizi Sharif Jild 2 , 1487) Insha Allah Apka bharosa Allah ki Zaat Par Pukhta Hona Chahye To Aapki Mushkil Aasan hojaegi Aur Aapka Karz Jald Adaa hojaega Lekin Sirf Ye Na Karen Ki Hath Par Hath Rakhkar Intezar Karen ki Khud Hi Karz Adaa Hojaega Allah Ne Har Kaam Ka Zariya Banaya hai lekin Aapko Mehnat Karne ki Zarurat Hai Aa...

HAR AMAL QABOOL HO

Image
HAR AMAL QABOOL HO YA SARIOO YA MUJIBU (يا سريع يا مجيب)  Agar Koi Ye Chahe ke wo Jo bhi Amal Karta Hai chahe Riste ke liye Ya Rozi k Liye Ya Aulad ke Liye Ya Kamyabi K Liye Ya kisi aur Maksad ke liye aur Chahe ke Wo Amal Qubul ho Jaye to… Ye Asma e Husna ko Har Amal ke Aakhir me 26 bar padh Liya kare Insha Allah Us Amal me Kamyabi Milegi. Aur Wo Amal ki Taseer Badhegi Awwal aakhir 11 durude pak jarur padhe Refrence ( Aneesul waaezin_)

या अल्लाह हमारी मदद कर तेरी अच्छी इबादत करने में

Image
या अल्लाह हमारी मदद कर तेरी अच्छी इबादत करने में अल-क़ुरआन: “और जो अल्लाह की याद से ग़ाफ़िल हो जाता है तो हम उस पर एक शैतान मुक़र्रर कर देते हैं फिर वो उसका साथी बन जाता है (सूरह अज़-ज़ुखरुफ़ (43): आयत (36) दुआ: “अल्लाहुम्मा इन्नी अला ज़िक्रीका वा शुक्रका वा हुस्नी इबादतीका” (तर्जुमाः) या अल्लाह मेरी मदद कर तेरा ज़िक्र करने में और तेरा शुक्र अदा करने में और तेरी अच्छी इबादत करने में) सुनन अबू दाउद, वॉल्यूम 1, 1509 ( सहीह) सुभानल्लाही वा बिहम्दिहि, सुभान-अल्लाहिल-अज़ीम ला इलाहा इल्लल्लाहु, वह्दहू ला शरीका लहू, लाहुल मुल्कु, वा लाहुल हम्दु, वा हुवा अला कुल्ली शैईन क़दीर” अल्लाह तआला रब्बुल अज़ीम हम सब मुसलमान भाइयों को कहने, सुनने और सिर्फ पढ़ने से ज्यादा अमल करने की तौफीक अता फ़रमाये और हमारे रसूल  नबी ए करीम सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम की बताई हुई सुन्नतों और उनके बताये हुए रास्ते पर हम सबको चलने की तौफीक अता फ़रमाये (आमीन)।

Deeni Maloomat

Image
DEENI MALOOMAT SAWAL NO:-01 Kya Sahabi hone k liye Baligh hona shart hai? JAWAB NO 01 Nahi'n balki gair Aqalmand Baccha bhi Sahabi ho sakta hai agar use Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se Mulaqaat ka sharf hasil ho, jaise imaam Hasan w Imaam Husain aur Abdullah Bin Zubair aur Mohammad Bin Abu Bakar Razi'allahu Anahum Sahabi hain. Ref ( Basheerool Qaari, page 127 ) SAWAL NO:-02 Kya Ab bhi Hazrat Jibraeel Alaihis'salam Zameen k oopar aate hain? JAWAB NO 02 Ha'n Hadees Shareef mein hai ki Hazrat Jibraeel Alaihis'salam us Banda e Maumin kee Maut k waqt hazir hote hain jiski maut paaki par ho. Ref ( Fatava Hadeesiya , page 129 ) SAWAL NO:-03 Hazrat Israfeel Alaihis'salam kin baton par muqarrar hain. JAWAB NO 03 Soor Fookane, insaanon aur janwaron mein Rooh Fookane aur Lauhe Mahfooz par Mamoor ( Muqarrar ) hain aur Hazrat Jibraeel w Meekaeel aur Izraeel Alaihis'salam ko Allah k hukm bhi Pahunchate hain kuch riwayat...

QURAN ME 25 MASH'HOOR NABI ALAIHIS SALAAM KE NAAM AYE HAIN

Image
QURAN ME 25 MASH'HOOR NABI ALAIHIS SALAAM KE NAAM AYE HAIN (1) Hzrat AADAM (Alaihis Salaam) (2) Hazrat NOOH ( Alaihis Salaam) (3) Hazrat IDRIS ( Alaihis Salaam) (4) Hazrat IBRAHIM ( Alaihis Salaam) (5) Hazrat ISMAIL ( Alaihis Salaam) (6) Hazrat ISHAAQ ( Alaihis Salaam) (7) Hazrat YAAQOOB ( Alaihis Salaam) (8) Hazrat YUSUF ( Alaihis Salaam) (9) Hazrat LOOT ( Alaihis Salaam) (10) Hazrat HOOD ( Alaihis Salaam) (11) Hazrat SAALEH ( Alaihis Salaam) (12) Hazrat SHOAIB ( Alaihis Salaam) (13) Hazrat MUSA ( Alaihis Salaam) (14) Hazrat HAROON ( Alaihis Salaam) (15) Hazrat DAUD ( Alaihis Salaam) (16) Hazrat SULAIMAAN ( Alaihis Salaam) (17) Hazrat AYYUB ( Alaihis Salaam) (18) Hazrat ZULKIFL ( Alaihis Salaam) (19) Hazrat YUNUS ( Alaihis Salaam) (20) Hazrat ILYAAS ( Alaihis Salaam) (21) Hazrat AL-YA'SA ( Alaihis Salaam) (22) Hazrat ZAKARIYA ( Alaihis Salaam) (23) Hazrat YAHYAA ( Alaihis Salaam) (24) Hazrat EISAA ( Alaihis Salaam)        ...

Azaan Ka Jawab Iss Tarah Dijiye.

Image
AZAAN Azaan Ka Jawab Iss Tarah Dijiye. Azaan : Allahhu-Akber, Allahu-Akber Iske Jawab Me Aise hi kahen Yaani "Allahhu-Akbar, Allahu-Akbar" Azaan : "Ash'Hadu Alla ilaaha illallah" Jawab Me Yahi Alfaz Dohraye "Ash'Hadu Alla ilaaha illallah' Aur Sath me Seedhe Hath ki Shahadat Wali ungli bhi Uthaye Azaan : Ash Hadu Anna Muhammadur Rasulallah Jawab : Durood Sharif Padhen (Sallallahu Alaihi Wasallam) Azaan : Hayya AlasSalah Jawab : "La Haula Wala Kuwwata illa Billa Hil Aliyyil Azeem" Kahen Azaan : Hayya Alal Falah Jawab : "La Haula Wala Kuwwata illa Billa Hil Aliyyil Azeem" Kahen Azaan : "Allahhu-Akber, Allahu-Akber" Iske Jawab Me Aise hi kahen Yaani "Allahhu-Akber, Allahu-Akber" Azaan : Lailaaha illallah Jawab : Lailaaha illallah Kahen Ya Azaan ka jawab ho gya. Note: Yaad Rakhen Humne jo Azan ke Alfaz likhe hai Wo ek ek baar Likhe hai Apko unhi Alfaz ka jawab 2 Baar ...

कलौंजी और शहद के फायदे क़ुरआन व हदीस की रौशनी में

Image
कलौंजी और शहद के फायदे क़ुरआन व हदीस की रौशनी में कलौंजी और शहद के फायदे मधुमक्खी को अरबी में नहल कहते हैं जिसके नाम से क़ुरआन में पूरी एक सूरेह मौजूद है इसी बात से अंदाज़ह लगाया जा सकता है कि इन्सानी ज़िन्दगी में शहद कि क्या अहमियत होगी “अल्लाह” रब्बुल इज़्ज़त क़ुरआन मुक़द्दस में इरशाद फरमाता है कि “और तुम्हारे रब ने शहद कि मधुमक्खी को इल्हाम किया कि पहाड़ों में घर बना” और दरख्तों में और चट्टानों में फिर हर क़िस्म के फल में से खा और अपने रब कि रहे चल कि तेरे लिए नरम और आसान हैं उसके पेट से पिने कि एक चीज़े रंग बिरंगी निकलती है जिसमे लोगों के लिए शिफा है बेशक उसमें निशानी है धियान करने वालों के लिए हवाला ( पारह 14 सूरेह नहल आयत 68-69 ) जन्नती शहद के बारे में इरशाद फरमाता है कि और ऐसी शहद कि नहरें हैं जो साफ़ किया गया हवाला( पारह 26 सूरेह मुहम्मद आयत 15 ) एक मर्तबा किसी सहाबी के भाई को दस्त आने शुरुआ हो गए इस पर आपने फ़रमाया कि उसे शहद पिलाओ उन्हों ने पिलाया मगर फायदा न हुआ फिर दूसरे रोज़ पूछा फिर आपने कहा कि शहद पिलाओ फिर तीसरे दिन भी उन्हों ने वही सवाल किया आपने फ़र...

EK HAIRAT ANGEZ DUROOD SHARIF

Image
DAROOD SHAREEF KI FAZILAT EK HAIRAT ANGEZ DAROOD SHARIF Zaid ibne sabit Razi'allahu ta'ala anhu ke hawale se ek nihayat riqqat angez aur iman afroz hadees naqal kee gaee hain  sahabee mausoof bayan kartey hai ki ek roz ham huzoor anwar Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ke hamraah ghar se nikale jab madeene ke chaurahe par pahunche tou dekha ki ek dehati apney oont kee mahar thame hue samne se chala aa raha raha hai Jab wah Huzoor ke qareeb pahuncha tou us ne is tarah salam arz kiya ☆Assalamo alaika ayyohannabi wa rahmatullahi wa barkatahu. Huzoor ne salam ka jawab marhamat farmaya usi darmiyan ek shakhs daudta hua aaya aur huzoor ke samne aakar khada ho gaya aur arz kiya YA Rasoolullah !  yah dehati mera oont chura kar le ja raha hai is se mera oont dil wa deejie us kee baat sun kar huzoor abhi khamosh hee the ki oont ne apney munh se ek aawaz nikali jis suntey hee huzoor ne us shakhs se farmaya ki too merey samne se dafa ho ja oont khud hee gawahi de raha hai...

Tauba

Image
TUBA Mahfum-eHadees:  Ibne Masood (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Farman Hai Ke “Sharmindagi Taubah Hai” Ref (Sunan Ibne Majah, Abwaab Al Zuhd, Baab Zikr Fee Tooba, Jild: 4, Page: 492, Hadith:4252) • Wazahat: Hadees Me Bataya Gaya Hai Ke Gunaaho Se Nadamat Hona Taubah Ka Aala Rukn Hai, Kyu Ke Agar Koi Kisi Ka Haq Khayega Tou Sharam-O-Nadaam Ke Maare Uska Haq Zaroor Ada Karega ,.. Isi Tarah Koi Be-Namazi Hoga Woh Sharmindagi Ki Waja Se Jo Namaz Uss Se Reh Gai Thi Woh Qaza Bhi Zaroor Parh Lega ,..  Iss Tarah Agar Woh Allah Ki Neymat Ko Dekhega Ke Usne Mujhe Sir Se Lekar Pau Tak Sahi Salamat Rakha Jiska Kabhi Maine Gour Hi Nahi Kiya Tha Tou Woh Zaroor Sochega Ke Sab Kuch Uska Diya Hua Hai Mera Tou Kuch Hai Hi Nahi, Uss Ke Diye Huwe Par Mai Uski Nafarmani Kaise Kar Sakhta Hu ,.. Tou Zaroor Woh Gunaah Se Apne Apko Bachata Rehega Aur Puraane Gunaaho Ki Taubah Karta Rahega. Ref (Mirat Al Munajhee, Jild: 3, ...

Namaz padhne ka tarika

Image
NAMAZ PADHNE KA TARIKA  ♡ Namaaz Padhne Ka Tariqa Ye Hai Ke Wazu Karke Qible Ki Taraf Muh Kare.Aur Is Tarha Khada Ho Ke Dono Pairon Ke Darmiyaan 4 Ungul Ka Fasila Rahe.Aur Dono Hathon Ko Dono Kano Tak Uthaye Ke Dono Angothe Dono Kanon Ke Lou se Chu Jaye.Baqi Ungliyan Apne Haal Per Rahen.Na Bilkul Mili Huwi Na Bahot Phaili Huwi. Is Haal Me Ke Kano Ki Lou Chute Huwe Dono HatheLiyan Qible Ki Taraf Hoon aur Nigah Sajde Ki Jagah Per Ho. Phir Niyyat Karke Allahu Akbar (الله أكبر)Kehte Huwe Hath Neeche La Kar Naaf Ke Neeche Is Tarha Bandh Len Ke  Dahni Hatheli Ki gaddi Bayen Kalayi Ke Sare Per Pahonchon Ke Pass Rahe, Aur Beech Ki 3 Ungliyan Kalayi ki Peet Per, Aur Angotha Aur Choti Ungli Kalayi Ke Aghal Baghal Halkhe Ki Surat Me Rahe. PHIR SANA PADHE Phir Ta'awuz Aur Tasmiya Phir Al-Hamd Shareef Puri Padhe,Aur Khatam Per Aashista Se Aameen Kahe. Iske Baad Koi Surat Ya 3 Aayaten Ya 1 Lambi Aayat Jo 3 Aayaton ke Barabar Ho Padhen. Phir Allahu Akbar(الله أكبر) Kehte Hu...

Din Ki Shuru Aur Aahiri Me Achay Kaam Kiya Karo.

Image
DIN KI SHURU AUR AAKHIRI ME ACHAY KAAM KIYA KARO.   MAHFUM-E HADEES: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya  Jis Ne Din (Day) Ki Shuruwat Kisi Achay Kaam Se Ki Aur Apne Din (Day) Ko Achay Kaam Hi Par Khatm Kiya Tou Allah Apne Farishtay Se Farmayega, “Inn Dono (Din Ke Shuru Aur Aakhir) Ke Darmiyan Jo Sagheera Gunaah (Kum Darje Ke Gunaah) Hain Unhe Mat Likho”. Ref (Jama-Al-Sagheer Al Suyuti, Page:813, Hadees:8423)

MAQBOOL DUA WAH KALIME JINKE ZARIE DUA KUBOOL HOTI HAI SME AA'AZAM

Image
MAQBOOL DUA WAH KALIME JINKE ZARIE DUA KUBOOL HOTI HAI SME AA'AZAM ♡Harate Asma bint yazeed Razi'allahu ta'ala anha se riwayat hain ki Nabi-e-Kareem Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne irshad farmaya ki Allah ta'ala ka isme Aa'azam in aayaton me hain والھکم الہ واحد لا الہ الا ھو الرحمن الرحیم Ref ( Tirmizi jild 2, safa: 205 ) ♧Aur Aale imran kee shuroo aayat الم  الله لا  الہ الا ھو الحی القیوم ♤Hazrate Ma'aaz bin jabal Razi'allahu ta'ala anhu se riwayat hain ki Nabi-e-Kareem Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne ek shakhs ko Yoon dua kartey hue suna یا ذو الجلال و الاکرام YA ZALJALALI WAL IKRAM TARJAMA:- Farmaya ki Teri suwaal kubool kiya gaya too suwaal kar Ref ( Tirmizi jild 2 safa 211 ) Hazrate mu'aaweey: bin sufiyaan Razi'allahu ta'ala anha se riwayat hain ki mai ne RASOOL'ALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam ko yah farmatey hue suna ki jo shakhs in panch 5, KALIME ke sath dua kare tou wah Allah se jis...

Zindagi guzarne ka tarika Acchi Zindagi Aur Acchi Mout Ke Liye.

Image
Zindagi guzarne ka tarika Acchi Zindagi Aur Acchi Mout Ke Liye. Acchi Zindagi Aur Acchi Mout Ke Liye 7 Azeem Nekiyan 1. Har Kaam Se Pehle Bismillah Kehna. 2. Har Kaam Se Faragat Ke Baad Alahmdulillah Kehna. 3. Galat Kaam Ho Jaane Par Astagfirulah Perhna. 4. Aainda Ke Liye Kisi Kaam Ka Irada Kare Tou In’sha’Allah Kehna. 5. Na’gawar Baat Par “Lahaoul” Parhna. 6. Kisi Bhi Takleef Pe “Inna Lillahi Wa Inna Ilaihi Rajioon” Parhna. 7. Har Waqt Kalma Tayyaba Ka Wird Karna (Dil Me Ya Zubaan Se).  In’sha’Allah-Ul-Azeez !!! Allah Rabbul Izzat hume Kehne Sun’ne se Jyada Amal ki Taufik dey,. Ameen ,.. Summa Ameen