Tauba



TUBA

Mahfum-eHadees: Ibne Masood (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Farman Hai Ke
“Sharmindagi Taubah Hai”

Ref (Sunan Ibne Majah, Abwaab Al Zuhd, Baab Zikr Fee Tooba, Jild: 4, Page: 492, Hadith:4252)


• Wazahat: Hadees Me Bataya Gaya Hai Ke Gunaaho Se Nadamat Hona Taubah Ka Aala Rukn Hai,

Kyu Ke Agar Koi Kisi Ka Haq Khayega Tou Sharam-O-Nadaam Ke Maare Uska Haq Zaroor Ada Karega ,..

Isi Tarah Koi Be-Namazi Hoga Woh Sharmindagi Ki Waja Se Jo Namaz Uss Se Reh Gai Thi
Woh Qaza Bhi Zaroor Parh Lega ,..

 Iss Tarah Agar Woh Allah Ki Neymat Ko Dekhega Ke Usne Mujhe Sir Se Lekar Pau Tak Sahi Salamat Rakha Jiska Kabhi Maine Gour Hi Nahi Kiya Tha Tou Woh Zaroor Sochega Ke Sab Kuch Uska Diya Hua Hai Mera Tou Kuch Hai Hi Nahi, Uss Ke Diye Huwe Par Mai Uski Nafarmani Kaise Kar Sakhta Hu ,..

Tou Zaroor Woh Gunaah Se Apne Apko Bachata Rehega Aur Puraane Gunaaho Ki Taubah Karta Rahega.

Ref (Mirat Al Munajhee, Jild: 3, Page: 379)

Popular posts from this blog

AKHIRI NABI MUHAMMAD SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA BAYAN