MOHARRAM UL HARAM
MOHARRAM UL HARAM PART:-01
MOHARRAM_UL_HARAM
PART:-01
➡ {1}SAWAL:-Taziya Banana Aur Dekhna Kaisa Hai.?
✔ JAWAB:-Sayyidi Sarkaar A'ala Hazrat Alaiyhi Rehma Irshad Farmate Hai: taziya ma.asiyat hai Taziya Banana Dekhna Jaiz Nahi..
📚 فتاوی رضویہ جدید ، ج16ص155،ج24ص489
➡ {2}SAWAL:- Shariat Me Taziye Ki Asal Kiya Hai.?
✔ *JAWAB:- Faramane A'ala Hazrat: Taziya Mamnu Hai Shariat Me Kuch Asal Nahi Aur Jo Kuch Bid'at Unke Sath Ki Jati Hai Sakht Na Jaiz Hai..
📚 فتاوی رضویہ شریف جدید ، ج244490
➡ {3}SAWAL:-Kiya Taziya Banana Kufr o Shirk Hai.?
✔ JAWAB:- A'ala Hazrat رضى الله عنه Farmate Hai: Taziya Zaroor Na Jaiz o Bid'at Hai Magar Kufr Nahi. Mazeed Ek Maqam Par Farmaya: Taziya Banana Shirk Nahi Ye Wahabiya Ka Khayal Hai Han Bid'at Gunah Hai- واللہ تعالی اعلم
📚 فتاوی رضویہ شریف جدید ،ج21ص221،ج24ص503
➡ {4}SAWAL:- Taziye Ki Tazim Karna Shar'an Kaisa Hai.?
✔ JAWAB:- A'ala Hazrat رضى الله عنه Farmate Hai: Taziya Banana, Dekhna Jaiz Nahi Aur Ta'zimo Aqidat Sakht Haraam Wa Ashad Bid'at Hai- Allah Ta'ala Musalman Bhaiyon Aur Behno Ko Raah-E-Haq Ki Hidayat Farmaye.Aameen..
📚 ,فتاوی رضویہ شریف جدید ج24ص489
➡ {5}SAWAL:- Taziye Par Mannat Manna Kaisa Hai.?
✔ JAWAB:- A'ala Hazrat رضی الله عنه Farmate Hai: Taziya Par Mannat Manna Batil o Najaiz Hai..
📚 فتاوی رضویہ شریف ج24ص501
➡ {6}SAWAL:- Kiya Taziya Ke Zariye Hajaten Puri Hoti Hai.?
✔ JAWAB:- A'ala Hazrat Farmate Hai: Taziya Ko Hajat Rawa Yani Zariya-E-Hajat Rawa Samajhna Jihalat Par Jihalat Hai..
📚 فتاوی رضویہ صفحہ 499
➡ {7}SAWAL:-Suna Hai Agar Kisi Ne Taziya Banana Ki Mannat Mani To Zaroor Banana Chahiye Warna Nuqsan Hoga, Kiya Ye Baat Durust Hai.?
✔ JAWAB:- A'ala Hazrat Farmate Hai: Taziya Banana Bid'at O Gunah Hai (Lihaza ) Na Karne Ko Bais-E-Nuqsan Khayal Karna Zanana-E-Waham Hai Musalmano Ko Aisi Harkaat Se Baaz Aana Chahiye..
📚5فتاوی رضویہ شریف ج 24.ص499503
➡ {8}SAWAL:-* Agar Koi Musalman Taziya Banaye To Kitna Gunah Hai.?
✔ JAWAB:- A'ala Hazrat Farmate Hai: Bid'at Ka Jo Gunah Hai Woh Hai, Gunah Ki Naap Tol Duniya Me Nahi..
📚 فتاوی رضویہ 501،510
➡ {9}SAWAL:- Taziya Banane Walon Ko Taziya Banane Ke Liye Chanda Dena Ya Taziya Banane Me Madad Karna Kaisa Hai.?
✔ JAWAB:-A'ala Hazrat Alaiyhi Rehma Farmate Hai Taziya Me Kisi Qism Ki Imdaad Jaiz Nahi, ALLAH Ta'ala Ne Farmaya:
ولا تعاونو علی الاثم والعدوان ( پ 6سورۃالمائدہ: 3
*Tarjuma-E-Qanzul Imaan:-* Gunah Aur Ziyadati Ke Muamlaat Me Ek Dusre Ki Madad Na Kiya Karo,
A'ala Hazrat Alaiyhi Rehma Mazeed Farmate: Alam, Taziye Me Jo Kuch Sarf Hota Hai Sab Israaf O Haraam Hai..
📚 فتاوی رضویہ شریف جدید ج24ص505
➡ {10}SAWAL:- Taziye Par Jo Mithhai Chadhai Jati Hai, Kya Uski Kha Sakte Hai.?
✔JAWAB:- A'ala Hazrat Alaiyhi Rehma Farmate Hai: Taziya Par Jo Mithhai Chadhai Jati Hai Agarche Haraam Nahi Ho Jati Magar Uske Khane Me Jahilon Ki Nazar Me Ek Amr/Kam E Najaiz Sharai Ki Wuqat Badhane Aur Uske Tark(Chhod) Me Usse Nafrat Dilayi Hai Lehaza Woh Mithhai Na Khayi Jaye..
📚فتاوی رضویہ صفحہ 49
➡ {11}SAWAL:-Alam Taziya Dekhne Ke Liye Nikalna Kaisa Hai.?
✔JAWAB:- A'ala Hazrat Alaiyhi Rehma Farmate Hai: Jo Kaam Na Jaiz Hai Usey Tamashe Ke Taur Par Dekhne Jana Bhi Gunah Hai..
📚 فتاوى رضويه ج24صفحہ 499
Mazeed Ek Maqam Par Irshad Farmate Hai: Alam Taziye Mehandi Unki Mannat, Gasht Chadhawa, Dhol Tashe, Marsiye Matam Masnui Karbala Ko Jana Auraton Ka Taziye Dekhne Ko Nikalna Ye Sab Baate Haraam O Gunah O Najaiz O Mana Hai..
📚 فتاوی رضویہ شریف جدید ج24449
➡ {12}SAWAL :- Shuhda-E-Karbala Ke Rauzo'n Ki Tasveere Aur Naqshe Gharon Aur Dukano Me Awizan(Latka ) Kar Rakh Sakte Hai Ya Nahi.?
✔ JAWAB:-A'ala Hazrat رضی الله عنہ Farmate Hai: Shaikh Abdul Mustafa Azmi رحمة الله علىه Farmate Hai Hazrat E Imam E Husain رضى الله عنه Aur Shuhda-E-Karbala رضى الله عنهم Ke Muqaddas Rauzo'n Ki Tasveer, Naqsha Bana Kar Rakhna Aur Unko Dekhna Ye To Jaiz Hai Kyunki Ye Ek Gair Jandar Chiz Ki Tasveer Ya Naqsha Hai Lehaza Jis Tarah Ka'aba, Baitul Muqaddas, Nalain Sharifain Waghaira Ki Tasveere Aur Unke Naqshe Bana Kar Rakhne Ko Shariat Ne Jaiz Thahraya Hai Usi Tarah Shuhda-E-Karbala Ke Rauzo'n Ki Tasveere Aur Naqshe Bhi Yaqinan Jaiz Hi Rahenge Leqin Har Saal Sekdo'n Hazaro Rupey Ke Kharch Se Rauza Karbala Ka Naqsha Bana Kar Usko Pani Me Dubo Dena Ya Zameen Me Dafan Kar Dena Ya Jangalon Me Phenk Dena Ye Yaqinan Haram o Najaiz Hai Kyunki Ye Apne Maal Ko Barbaad Karna Hai Aur Musalmaan Janta Hai Ke Maal ko Zaaya Aur Barbaad Karna Haraam o Najaiz Hai..
📚 جنتی زیور تخریج شدہ ،ص155,156
Hakimul Ummat Taajdare Gujarat Hazrat Mufti Ahmad Yaar khan Naimi Irshad Farmate Hai: Agar ( Imam E Husain رضى الله عنه Ke Mazaar Shareef Ka Sahih Naqsha Tayyar Kiya Jae Jis Ki Ziyarat Ki Jae Use Dafan Na Kia Jae Balke Mahfooz Rakha Jae Bila Shubah Jaiz Hai..
📚 فتاوی نعیمیہ ص192
➡ {13}SAWAL:- Moharram Shareef Me Kiye Jane Wale Khilaf-E-Shar'a Kamo'n Ki Nishan Dahi Farmaye.?
✔ JAWAB:- Shaikhul Hadees Hazrat Allama Abdul Mustafa Irshad Farmate Hai: Dhol Tasha Bajana Taziyo'n Ko Matam Karte Huwe Gali Gali Phirana, Sino Ko Hatho'n Ya Zanjiron Ya Chhuriyo(Knifes) Se Pit Pit Kar Aur Mar Mar Kar Uchhalte Kudte Huwe Matam Karna, Taziyo'n Ki Tazim Ke Liye Taziyo'n Ke Samne Sajdah Karna Taziyo'n Ke Niche Ki Dhool Utha Uthh Kar Bataur E Tabarruk Chehron, Saro'n Aur Sino Par Malna, Apne Bachcho(Childs) Ko Moharram Ka Faqeer Bana Kar Moharram Ki Niyaz Ke Liye Bheek Mangwana, Sog/Gham Manane Ke Liye Khas Qism Ke Kale Kapde Pehen Kar Nange Sar Nange Paunw(Legs) Gireban Khule Huwe Ya Gireban Phaad Kar Gali Gali Bhage Phirna Waghaira Waghaira Qism Ke Lughwiyat Aur Khurafat Ki Rasme Jo Musalmano Me Pheli Huwi Hai Ye Sab Mamnu O Najaiz Hai Aur Ye Sab Zamana-E-Jahiliyat Aur Rafziyo'n(Shiyao'n) Ki Nikali Huwi Rasme Hai Jin Se Tauba Karke Khud Bhi In Haraam Rasmo'n Se Bachna Aur Dusro Ko Bachana Har Musalmaan Par Lazim Hai Usi Tarah Taziyo'n Ka Jhuloos Dekhne Ke Liye Aurato Ka Be Parda Gharo'n Se Nikalna Aur Mardo Ke Majmo'n Me Jana Aur Taziyo'n Me Jhuk Jhuk Kar Salaam Karna, Ye Sab Kaam Bhi Shariat Me Mana Aur Gunah Hai..
(📚جنتی زیور تخریج شدہ ص 156/157)
{14}SAWAL:-Moharram Shareef Me Dus(10) Roz Tak Karbala Walo Ki Yaad Me Sogawar/Ghamgeen Rehna, Sog Manana Shar'an Kaisa Hai.?
✔ JAWAB:-A'ala Hazrat رضی الله عنہ Farmate Hai, Moharram Shareef Me Dus Roz Tak Sogawar/Ghamgeen Rehna Mamnu o Najaiz Hai..
(📚فتاوی رضویہ شریف جدیدج24ص508)
Mazeed A'ala Hazrat Farmate Hai, Shariat Ne Aurat Ko Shauhar Ki Maut Par 4Month 10Din Sog/Gham Ka Hukm Diya Hai, Auro'n Ki Maut Ke 3sre Din Tak Ijazat Di Hai Baqai Haraam Hai Aur Har Saal Sog/Gham Ki Tajdeed To Kisi Ke Liye Aslan Halaal Nahi..