Shaan e Imam e Aazam رضي الله عنه Hazrat e Noumaan Ibne Saabit , 755
Shaan e Imam e Aazam رضي الله عنه Hazrat e Noumaan Ibne Saabit , 755.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Aap ka naam Noumaan ibne saabit hai.
Aap ki kunniyat Abu Hanifa aur laqab Imaam e Aazam hai.
Aap ki wiladat 80 hijri ko kufaa mein huwi.
Aap ne kam o besh 30 Sahaba e Kiraam رضي الله عنهم ki ziyarat ki.
Aap ko 55 martaba hajj ki sa'adat mili.
Ek baar aap Madina Munawwara pahuche aur Rauza e Anwar par hazir huwe to aap ne arz ki,
"Assalaamu Alaikum ya Sayyedul Murseelin"
to Muwaja e Aqdas se jawab mila
"Walaikum Assalaam ya Imamul Muslimeen "
Iss se pata chala khud Sarkar e Do Aalam ﷺ ne aap ko musalmano ka imaam farmaya hai.
Ref {Tazkiratul Auliya, Safah no. 246. }
Hum ahle sunnat ke liye yeh badi khushi aur gaur talab baat hai,
Hamare Rasool - Rasool e Aazam.
Hamare Shaheed - Shaheed e Aazam.
Hamare Imam - Imam e Aazam
Hamare Gaus - Gaus e Aazam.
Hamare Khwaja - Khwaja e Aazam.
Hamare Mujaddid - Mujaddid e Aazam.
Hamare Mufti - Mufti e Aazam .