MOHARRAM UL HARAM
MOHARRAM_UL_HARAM PART:-02
{15}SAWAL:- Maidan E Karbala Me Hazrat E Sayyiduna Imaam E Hussain رضی الله عنه Aur Unke Rufqa/Sathi Par Jo Zulm o Sitam Kiye Gaye Unhe Padhkar Ya Sunkar Dil Ghamgheen Ho Jaye, Aankhon
Se Aansu Chhalak Pade , To Kiya Ye Bhi Mana Hai.?
✔ JAWAB:-A'ala Hazrat Farmate Hai: Ji Nahi! Jaisa Ke Sarkaar E Do Aalamصلی الله علیه وسلم Irshad Farmate Hai: Arre Sunte Nahi Ho Be Shak ALLAH Ta'ala Na Aansu Se Rone Par Azaab Kare Na Dil Ke Gham Par Aur Zuban Ki Taraf Ishara Karke Farmaya: Haa Ispar Azaab Hai Ya Reham Farmae Isko Bukhari Wa Muslim Shareef Ne Hazrat Abdullah Ibne Umar رضی الله عنہما Se Riwayat Kiya Hai:
📚 صحیح بخاری کتاب الجنائز باب البکاء عندالمریض، ج1ص174
Isi Tarah Fatawa Aalamgiri Me Bhi Hai Jameulmuzmirat Se (Buland Aawaz Se Rona) Aur Bin Karna (Islaam Me) Jaiz Nahi Leqin Baghair Aawaz Ke Rona Aur Aansu Bahana Mamnu/Mana Nahi..
📚 فتاوی ہندیہ کتاب الصلاۃالفصل السادس ، ج1ص167
A'ala Hazrat Irshad Farmate Hai: Kaun Sa Sunni Hoga Jise Waqia-E-Karbala Ka Gham Nahi Ya Uski Yaad Se Dil Mahzun Aur Aankh Purnam Nahi Han Musaaib Me Hum Ko Sabr Ka Hukm Farmaya Hai Jaza Faza Ko Shariat Mana Karti Hai Aur Jise Waqai Dil Me Gham Na Ho Usey Jhuta Izhar-E-Gham(Gham Ka Izhaar) Karna Riya/Dikhawa Hai Aur Qasdan (Yani Jan Bujhkar) Gham Aawari Aur Gham Parwari Khilaf-E-Raza Hai Jise Iska Gham Na Ho Usey Be Gham Na Rehna Chahiye Balke Uss Gham Na Hone Ka Gham Chahiye Ke Uski Mohabbat Naqis/Kam Ho Uska Imaan Naqis Hai و الله تعالی اعلم
📚 فتاوی رضویہ شریف جدید ج24صفحہ 487/488
➡ {16} SAWAL:-Shuhda E Karbala رضی الله عنہم Ki Yaad Me Matam Karna Aur Noha Karna Kaisa Hai.?
✔ JAWAB:-A'ala Hazrat Farmate Hai: Matam Karna Chhati/Sina Pitna Haraam Hai Neez Matam O Noha Moharram Ho Ya Ghair Moharram Mutlaqan Haraam Hai..
📚 فتاوی رضویہ جدید ج23ص407ج24ص496
Rasool ALLAH صلی الله عليه وسلم Irshad Farmate Hai: Mai Bezaar Hun Usse Jo Bhadra Kare Aur Chillakar Roye Aur Gireban Chak Kare, Bukhari Wa Muslim Shareef Ne Hazrat E Abu Musa Ash'ari رضی الله عنه Ke Hawale Se Ise Riwayat Kiya Bhadra Kisi Ke Marne Par Hinduo'n Ki Tarah Bataur-E-Sog Sar Mundana Rasool ALLAH صلی الله عليه وسلم Ne Irshad Farmaya: ALLAH Az'zawajal Jahannam Me Noha Karne Walo Ki Do Safe'n Banaega Ek Saff Jahannam Ke Dahini(Right) Janib(Side) Aur Dusri Saff Jahannamiyo Ke Baee(Left) Janib Wo Jahannamiyo Par is Tarah Bhonkte Honge Jaise Kutte Bhonkte Hai..
📓 سرور خاطر ترجمہ قرۃالعیون. ص 30.
➡ {17} SAWAL:- Suna Hai 10 Muharram Ko Ghar Me Chulha Jalana, Roti Pakana, Jhadu Lagana Nahi Chahiye, Kiya Ye Baat Durust Hai.?
✔ JAWAB:-A'ala Hazrat Farmate Hai: Ye Baatre Sog/Gham Hai Aur Sog Haraam Hai..
(📚فتاوی رضویہ شریف جدید ج24ص488
📎To Maloom Hua 10 Muharram Ashura Ke Roz Ghar Me Chulha Jala Kar Roti Salan Waghaira Paka to Bhi Sakte Hai Kha Bhi Sakte Hai Aur Dusro Ko Khila Bhi Sakte Hai Neez Ghar Ki Safai Bhi Kar Sakte Hai Jhadu Pochha Waghaira Bhi Laga Sakte Hai, Hamara Islaam 10 Muharram Ko In Kaamo Se Mana Nahi Karta ALLAH Ta'ala Ghalat Fehmiyo Se Tamam Musalmano Ko Bachaye.(Aamin)
➡ {18} SAWAL:-Muharram Shareef Ke Mahine Me Shadi Biyah Kar Sakte Hai Ya Nahi.?
✔ JAWAB:-A'ala Hazrat Farmate Hai: Maah-E-Muharram (Muharram Ke Mahine) Me Nikah Karna Jaiz Hai, Nikah Kisi Mahine Me Mana Nahi..
(📚فتاوی رضویہ شریف جدید ج11ص265ج23ص193
📌 Professor Mufti Muniburrahman Farmate Hai Muharram Safar Ya Saal Ke Kisi Bhi Mahine Me Nikah Karna Mana Nahi Hai..
(📚تفہیم المسائل،ج1ص240)
➡ {19} SAWAL:-Suna Hai Muharram Me Sirf Hazrat E Sayyiduna Imaame Hussain Aur Digar Shuhda-E-Karbala Radi Allaho Anhum Ajmaeen Ko Hi Isaale Sawab Kar Sakte Hai Aur Kisi Ko Nahi Kiya Ye Baat Durust Hai.?
✔ JAWAB:- Ji Nahi.! A'ala Hazrat Farmate Hai: Muharram Waghaira Har Waqt Zamana Me Tamam Ambiya AlaiyhimusSalaato Wassalaam Aur Auliya-E-Ikraam Ki Niyaz Aur Har Musalmaan Ki Fatiha Jaiz Hai Agarche Khas Ashura Ke Din Ho..
(📚 فتاوی رضویہ شریف جدید ج24ص499)
Mazeed Irshad Farmate Hai: In Ayyam/Dino Me Siwaye Imaame Hasan O Imaam Hussain Radi Allaho Ta'ala Anhuma Ke Kisi Ki Niyaz Fatiha Na Dilana Jihalat Hai. Har Mahina Har Tarikh Me Har Wali Ki Niyaz Aur Har Musalmaan Ki Fatiha Ho Sakti Hai..
(📚فتاوی رضویہ جدید ج24ص488)