Murde ki Maani hui Mannat ko pura karna 



°°°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°

 Murde ki Maani hui Mannat ko pura karna        

Hazrat-e-Ibne Abbas radhi allaho anho bayan karte hain ki:Ek shakhs Nabi ﷺ ke paas aaya aur arz kiya:Meri bahan Haj karne ki mannat maani thi,Lekin use pura karne se pahle hi inteqaal kar gaee.(To kya main uski taraf se woh mannat pura kar sakta hun) Aap ﷺ ne farmaya ki:Bataao! Agar uske upar kisi ka qarz hota to tum use pura karte ya nahi? Us shakhs ne kaha: "Haan"  Aap ﷺ ne farmaya : To Allah ka qarz bhi ada karo.kyunki woh is baat ka ziyadah haq-daar hai ki us ka qarz ada kiya jaae.

Ref { Sahi Bukhari,Hadees No.6699 }

Popular posts from this blog

AKHIRI NABI MUHAMMAD SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA BAYAN