EK HAIRAT ANGEZ DUROOD SHARIF
DAROOD SHAREEF KI FAZILAT
EK HAIRAT ANGEZ DAROOD SHARIF
Zaid ibne sabit Razi'allahu ta'ala anhu ke hawale se ek nihayat riqqat angez aur iman afroz hadees naqal kee gaee hain sahabee mausoof bayan kartey hai ki ek roz ham huzoor anwar Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ke hamraah ghar se nikale jab madeene ke chaurahe par pahunche tou dekha ki ek dehati apney oont kee mahar thame hue samne se chala aa raha raha hai Jab wah Huzoor ke qareeb pahuncha tou us ne is tarah salam arz kiya
☆Assalamo alaika ayyohannabi wa rahmatullahi wa barkatahu.
Huzoor ne salam ka jawab marhamat farmaya usi darmiyan ek shakhs daudta hua aaya aur huzoor ke samne aakar khada ho gaya aur arz kiya YA Rasoolullah ! yah dehati mera oont chura kar le ja raha hai is se mera oont dil wa deejie us kee baat sun kar huzoor abhi khamosh hee the ki oont ne apney munh se ek aawaz nikali jis suntey hee huzoor ne us shakhs se farmaya ki too merey samne se dafa ho ja oont khud hee gawahi de raha hai ki too jhoota hai Jab wah chala gaya tou huzoor rahmate Aalam Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne daryaft farmaya ki Abhi too kiya padh raha tha us ne arz kiya mere Maa'n-Baap aap par kurban ho mai yah Durood shareef padh raha tha.
☆Allahumma salle ala sayyadena mohammadeen hatta la tabqa minassalate shai'iyoon• Allahumma barik ala sayyadena mohammadin hatta la tabqa minal barkate shai'iyoon• Allahumma sallam ala sayyadena mohammadeen hatta la tabqa minassalame shai'iyoon Allahumma arham sayyadena mohammadan hatta la tabqa minarrahhe shai'iyoon •
Yah sun kar huzoor ne farmaya ki mai ne dekha ki tere munh se nikale hue Durood ke alfaz lene ke liye aasman se itne faristey utare ki madeena ka aasman fariston se bhar gaya is hadees shareef se jahan is Durood paak kee azmat wa fazeelat sabit hoti hai ki use lene ke liye aasman se farishte nazil hue waha'n yah aqeeda bhi sabit hota hai ki munh se nikale hue alfaz ko bhi huzoor dekhtey hai aur aalame gaib me utarne wale farishton ka bhi huzoor har waqt mushahida farmatey hai
Is Durood shareef kee fazeelat zahir ho Jane ke baad khuda jis taufeeq de tou use chahiye ki ise zabani yaad kar le aur use hamesha apne wird me rakhe.