Deeni Maloomat
DEENI MALOOMAT
SAWAL NO:-01 Kya Sahabi hone k liye Baligh hona shart hai?
JAWAB NO 01 Nahi'n balki gair Aqalmand Baccha bhi Sahabi ho sakta hai agar use Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se Mulaqaat ka sharf hasil ho, jaise imaam Hasan w Imaam Husain aur Abdullah Bin Zubair aur Mohammad Bin Abu Bakar Razi'allahu Anahum Sahabi hain.
Ref ( Basheerool Qaari, page 127 )
SAWAL NO:-02 Kya Ab bhi Hazrat Jibraeel Alaihis'salam Zameen k oopar aate hain?
JAWAB NO 02 Ha'n Hadees Shareef mein hai ki Hazrat Jibraeel Alaihis'salam us Banda e Maumin kee Maut k waqt hazir hote hain jiski maut paaki par ho.
Ref ( Fatava Hadeesiya , page 129 )
SAWAL NO:-03 Hazrat Israfeel Alaihis'salam kin baton par muqarrar hain.
JAWAB NO 03 Soor Fookane, insaanon aur janwaron mein Rooh Fookane aur Lauhe Mahfooz par Mamoor ( Muqarrar ) hain aur Hazrat Jibraeel w Meekaeel aur Izraeel Alaihis'salam ko Allah k hukm bhi Pahunchate hain kuch riwayaton mein hai ki raat kee Barah ghadiyon mein Barah Azaane kahtey hain har ghadi kee Azaan Alag hai, unki Azaanon ko insaan aur Jinnon k ilawa Saton Aasmanon aur Saton Zameenon k tamaam farishte sunte hain.
Ref ( Tafseer Azeezi Sure Baqar , page 310 , Para 30 , page 26 )
SAWAL NO:-04 Allah Ta'ala ne Hazrat Jibraeel Alaihis'salam ko kis qadar taqat dee hai?
JAWAB NO 04 Allah Ta'ala ne unhein itni taqat w kuwwat Ata farmaee hai ki Aasmaan se Zameen tak Bawajood is qadar fasale k palak marne kee der mein utar bhi aate hain aur Chad bhi jate hain.
Ref ( Khazin Wam'Aalim ,7 , page 179 )
SAWAL NO:-05 Kya Farishte bhi Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam kee Ummat hain?
JAWAB NO 05 Ha'n Ummat hain aap unki taraf Rasool Banakar bheje gae.
Ref( Zarqaani, 1 , Page 165 , Saavi , 4 , page 68 )