Posts

Showing posts from October, 2018

COURT ME CASE HO

Image
COURT ME CASE HO  Agar kisi Bande ke upar kisi jagah Court me koi Jutha case chalta ho ya kisi ne Pareshan karne ke liye koi arji dali ho aur wo us se nikalna chahta ho to....  Sure Bani Israil ki Aayat no 81 وَقُلْ جَآءَ ٱلْحَقُّ وَزَهَقَ ٱلْبَٰطِلُ ۚ إِنَّ ٱلْبَٰطِلَ كَانَ زَهُوقًا ○ ko Rozana kisi bhi namaz ke bad 133 bar padh kar dua kiya kare Aur Jis din Court me Case ki Tarikh ho us din ye amal ke sath Sure Tagabun ki 11vi aayat ko 1100 bar padh kar court me jaye  Jab tak Kamyab na ho ye amal karte rahe  Insha allah ya to us mukaddame me aap ki jeet hogi ya fir wo mukaddama aap ke upar se kharij ho jayega  Awwal aakhir 11 durude pak jarur padhe

SEHAT KE LIYE AHTIYATI TADBIR

Image
SEHAT KE LIYE AHTIYATI TADBIR  Hazrat Ibne Abbas Razi allahu Taala anhu Rivayat karte hai ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam)  : *Khane Pine Ki Chizo Me Fuk Nahi Marte The Aur Na Bartan Me saas Lete The  Ref [Ibne maaja : 3288 ] ⚛☛FAYDA: Atibba Kehte he ki Jo Hawa Saas Ke Zariye Bahar Nikalti He, Usme Marz Ke Aitbar Se Laakho Jarasim (Kitanu) Hote he Jab Insan Bartan me Teen Fuk marega ya saas Lega, To Wah Jarasim ( Kitanu) Usme Fel sehat Ke liye Nuksan Deh Sabit Ho sakte he

Momin aur Munafiq ki Misaal

Image
°°°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°° Momin aur Munafiq ki Misaal 📜عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:مَثَلُ الْمُؤْمِنِ كَمَثَلِ الزَّرْعِ لاَ تَزَالُ الرِّيَاحُ تُفِيئُهُ وَلاَ يَزَالُ الْمُؤْمِنُ يُصِيبُهُ بَلاَءٌ وَمَثَلُ الْمُنَافِقِ كَمَثَلِ الشَّجَرَةِ الأَرْزِ لاَ تَهْتَزُّ حَتَّى تُسْتَحْصَدَ Tarjama: Huzur Nabi kareem ﷺ ne farmaya ki: Momin ki misaal kheti ki tarah hai.Jise hawa barabar (idhar udhar)hilaati rahti hai. (Momin bhi aisa hi hota hai) us par barabar balaae aur takleef aati rahti hain. Aur Munafiq ki misaal Sanubar ke darkht ki tarah hai jo apni jagah se hilta hi nahi jab tak ki use jad se kaat na diya jaae. Ref ( Tirmizi,Hadees No.3105

Ummid Aur Dar

Image
°°°°°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°°°  ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆              Ummid Aur Dar Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki: Nabi kareem ﷺ ek jawan ke paas tashrif le gae jo maut ke bilkul qareeb ho chuka tha.Nabi kareem ﷺ ne un se puchha ki: Tum kaisa mehsoos kar rahe ho.Unhone kaha:Ya Rasoolallah ﷺ! Qasam hai Allah ki! Mujhe Allah se ummid bhi hai(Ki woh mujhe bakhsh dega)aur apne gunaaho ki wajah se main dar bhi raha hun. Nabi kareem ﷺ ne farmaya ki:Aise waqt me jis bande ke bhi dil me ye do baaten jama ho jaaengi,To Allah Ta'ala use woh ata farmaaega jis ki use ummid hai aur us se bacha dega jis se use dar hai. Ref ( Tirmizi,Hadees No.999 ) Note: Insaan ki maut aam taur se usi haalat par hoti hai jis par woh zindagi guzaarta hai aur Qayamat ke din usi haalat par uthaaya jaaega jis par maut hui hai.Is liye hame chaahiye ki ham apni zindagi Allah se ummid aur dar ke saath guzaare. Yani Allah paak se ummid r...

Allah ki Rahmat se

Image
°°°°°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°°°  ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆          Allah ki Rahmat se عَنْ أَبِي بَكْرٍ الصِّدِّيقِ قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: ((مَلْعُونٌ مَنْ ضَارَّ مُؤْمِنًا أَوْ مَكَرَ بِهِ Tarjama: Huzur Nabi kareem ﷺ ne farmaya ki:Woh shakhs mal'oon hai ( Yani Allah ki rahmat se door hai) jis ne kisi momin ko takleef pahunchaaya ya us ke saath dhoka kiya. Ref ( Tirmizi,Hadees No.2067 )

KALUNJI (SHONIZ) SE ILAAZ

Image
KALUNJI (SHONIZ) SE ILAAZ Hazrat Maa Aisha Razi allahu Taala anha Farmati   hai ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam)Ne Irshad Farmaya   : Tum Iss Kalaunji ko Istemal karo, Kyu ke Isme Maut Ke alawa Sab Bimari ae shifa Maujud He  Ref [ Bukhari: 5687 ]

KHARBUJA KE FAWAYID

Image
KHARBUJA KE FAWAYID Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam)Ne Irshad Farmaya   :  Khane Se Pehle Kharbuje Ka Istemal Pet Ko bilkul Saaf kar deta he aur Bimari ko Jad Se Khatm Karta he  Ref [ Ibne Asafir : 6/ 102 ]

Ummid Aur Dar

Image
°°°°°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°°°  ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆          Ummid Aur Dar 📜Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki: Nabi kareem ﷺ ek jawan ke paas tashrif le gae jo maut ke bilkul qareeb ho chuka tha.Nabi kareem ﷺ ne un se puchha ki: Tum kaisa mehsoos kar rahe ho.Unhone kaha:Ya Rasoolallah ﷺ! Qasam hai Allah ki! Mujhe Allah se ummid bhi hai(Ki woh mujhe bakhsh dega)aur apne gunaaho ki wajah se main dar bhi raha hun. Nabi kareem ﷺ ne farmaya ki:Aise waqt me jis bande ke bhi dil me ye do baaten jama ho jaaengi,To Allah Ta'ala use woh ata farmaaega jis ki use ummid hai aur us se bacha dega jis se use dar hai. Ref (Tirmizi,Hadees No.999 Note: Insaan ki maut aam taur se usi haalat par hoti hai jis par woh zindagi guzaarta hai aur Qayamat ke din usi haalat par uthaaya jaaega jis par maut hui hai.Is liye hame chaahiye ki ham apni zindagi Allah se ummid aur dar ke saath guzaare. Yani Allah paak se ummid rakhe aur kabhi m...

Aayat: Aye imaan walo tum “Ra’ina” na kaho balke “unzurna” kaho aur gaur se suno.

Image
°°°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°° Aayat: یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَقُوۡلُوۡا رَاعِنَا ۔ سورہ بقرہ،آیت:۱۰۴ Tarjama: Aye imaan walo tum “Ra’ina” na kaho balke “unzurna” kaho aur gaur se suno. [Surah Baqrah,Aayat No.104] Shaan-e-Nuzool: Tafseer ki kitaabon me hai ki jab huzur sallallaho alihe wasallam sahaba ko kuchh padhate aur sikhate the to agar unhe koi baat samajh me nahi aati to woh kehte “Raa’ina Ya Rasoolallah ﷺ!” Is ka maana ye tha ki Ya Rasoolallah ﷺ! Ham logon ki riya’at kijiye aur hame khoob achchhi tarah samajh lene dijiye. Yahudiyon ki zubaan me is lafz ka maana hota tha “Hamare jaanwaron ke charaane wale” To yahudiyon ne isi maane ki niyat se ye lafz apni majlison me huzur ke liye  kahna shuru kar diya.Hazrat-e-Sa’ad bin Ma’az radhi allaho anho jo yahudiyon ki zubaan achchhi tarah jaante the.Ek din yahudiyon ko yahi lafz huzur ke liye kehte hue sun liya.To aap ne farmaya: Aye khuda ke dushmano! Agar ab ye lafz main ne kisi ko ...

Allah Ta'ala Har kisi ko kya nahi deta hai?

Image
°°°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°° Allah Ta'ala Har kisi ko kya nahi deta hai?  Aayat: مَا کَانَ اللہُ لِیَذَرَ الْمُؤْمِنِیۡنَ عَلٰی مَاۤ اَنۡتُمْ عَلَیۡہِ حَتّٰی یَمِیۡزَ الْخَبِیۡثَ مِنَ الطَّیِّبِ ؕ وَمَا کَانَ اللہُ لِیُطْلِعَکُمْ عَلَی الْغَیۡبِ وَلٰکِنَّ اللہَ یَجْتَبِیۡ مِنۡ رُّسُلِہٖ مَنۡ یَّشَآءُ فَاٰمِنُوۡا بِاللہِ وَرُسُلِہٖ ۚ وَ  اِنۡ تُؤْمِنُوۡا وَتَتَّقُوۡا فَلَکُمْ اَجْرٌ عَظِیۡمٌ Tarjama: Allah musalmano ko is haal par nahi chhodega jis par tum (abhi) ho,Jab tak ki woh alag nahi karde gande (Munafeqin) ko saaf suthre (Mukhlis momino) se.Aur Allah ki ye shan nahi ki aye aam logo!Tumhe gaib ka ilm de de.Haan!(Is ke liye) Allah chun leta hai apne rasoolo me se jise chaahta hai.To imaan laao Allah aur us ke Rasoolo par.Aur agar tum imaan laae aur parhezgaari ekhtiyaar kiye to tumhare liye bada sawab hai. [Surah Aal-e-Imran,Aayat No.179] Shan-e-Nuzool: Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne ek baar ye farmaya ki:Allah Ta’ala ne mujhe ye...

Kya dadhi rakhne ka Hukm Alimo ka hai?

Image
°°°°°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°°°  ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆      Kya dadhi rakhne ka Hukm Alimo ka hai?  عَنِ ابْنِ عُمَرَ عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: أَحْفُوا الشَّوَارِبَ وَأَعْفُوا اللِّحَى. Tarjama: Huzur Nabi kareem ﷺ ne farmaya ki: Monchho ko past karo aur dadhio ko badhao. Ref ( Sahi Muslim,Hadees No.623 Note: Is hadees sharif se maloom hua ki daadhi rakhne ka hukm,Nabi ﷺ ka hukm hai.Is liye is ka mazaaq udaana ya isko pasand na karna haqiqat me Nabi ﷺ ki baat ko na-pasand karna hai.Is liye jo musalman bhai ya behan aisi galti me hain unhe tauba kar leni chaahiye.

Zameen us din apni khabro ko bayan karegi

Image
°°°°°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°°°                Surah Zilzaal Hazrat-e-Abu Huraira radhi allaho anho bayan karte hain ki:Nabi kareem ﷺ ne Surah zilzaal ki Ye aayat Tilwat farmaya. یو مٸذ تحدث اخبارھا۔ Zameen us din apni khabro ko bayan karegi.(Surah Zizaal,Aayat No.4) Is aayat ke padhne ke baad Nabi kareem ﷺ ne sahaba se puchha: Kya tum log jaante ho ki zameen kya khabar bayan karegi.Sahaba ne kaha:Allah aur us ke Rasool ziyadah jaan ne wale hain.To Aap ﷺ ne farmaya ki: Us din zameen har mard aur aurat ke baare me gawahi degi jo kuchh bhi us ne zameen par rah kar kiya hoga.Aur woh kahegi ki falaan ne falaan din aisa aisa kiya.Yahi uski khabar hogi. Ref ( Tirmizi,Hadees No.2616 Note: Maloom hua ki ham zameen ke jis hisse par jo bhi achchaai ya buraai kare ye zameen qayamat ke din hamara gawaah hogi. Is liye hame is par rah kar neki karni chaahiye aur buraaiyo se tanhaaiyo me bhi bachna chaahiye.

DOODH PILANE WALIKA MASLAH

Image
DOODH PILANE WALIKA MASLAH AURAT KO SHAUHAR KI IJAZAT KE BAGAIR KISI BACHCHE KO DOODH PILANA MAKROOH HAI, ALBATTA AGAR IS (BACHCHE) KE HALAAQ HONE KA ANDESHA HAI TO KARAHAT NAHI, MAGAR MIYAAD KE ANDAR RAZA'AT HAR SOORAT ME SABIT HAI. AURTO'N KO CHAHIYE KI BILA ZARURAT HAR BACHCHE KO DOODH NA PILA DIYA KAREIN AUR PILAYEIN TO KHUD BHI YAAD RAKHEIN AUR LOGO'N KO YE BAAT KEH BHI DEIN. BACHCHE NE JIS AURAT KA DOODH PIYA WO IS BACHCHE KI MAA HO JAYEGI AUR US KA SHAUHAR US BACHCHE KA BAAP HO JAYEGA AUR IS AURAT KI TAMAM AULADEIN IS KE BHAI BAHEN KHWAN ISI SHAUHAR SE HO YA DUSRE SHAUHAR SE HO IS KE DOODH PEENE KE SAATH KE HO, BAAD KE HO YA PEHLE KE, AUR IS AURAT KE BHAI IS BACHCHE KE MAMU, ISKI BEHENEIN BACHCHE KI KHALA.* YUNHI IS SHAUHAR KI AULADEIN IS BACHCHE KE BHAI BAHEN AUR ISKI SHUAHAR KE BHAI ISKE CHACHA AUR IS SHAUHAR KI BEHNE IS BACHCHE KI FUFIYA KHWAN SHAUHAR KI YE AULADEIN ISI AURAT SE HO YA DUSRI AURAT SE. EK AURAT KA DO BACHCHON NE DOODH PIYA AUR UN ME 1 ...

chechak ki bimari ka ilaj

Image
chechak ki bimari ka ilaj  Agar koi shakhs Ko Chechak ki Bimari Ho Gayi ho to.  11 Adad Nile Rang k Dhage Sath Me le Kar SURE REHMAN (para 27) Padhna Shuru Kare. Jab is Aayat Par Aaye...  فَبِاَیِّ اٰلَآءِ رَبِّکُمَا تُکَذِّبٰنِ ○ (FABI AYYI A'ALAI RABBIKUMA TUKAZZIBAN) Tab Us Dhage me 1 Girah (Gaanth) Laga de aur Gaanth Par Dam Kr de. Puri Surat Khatam Hone Tak Jitni Bar Ye Aayat Aaye Har Bar 1 Gaanth Laga De aur us Gaanth p Dam kr De. Fir Wo Dam Kiya hua Dhaga Chechak K Mariz k Gale me Pehna de  Insha allah Is Amal ki Barkat se Allah ne Chaha To Chechak ki Bimari Se Shifa Hogi. Awwal aakhir 11 bar Durood shareef  jarur padhe.

SUR'AT ANJAL KISE KEHTE HAI?

Image
SUR'AT ANJAL KISE KEHTE HAI? » Jinsi Talukat Ke Waqt Mani (Virya) Ke Jald Kharij Hone Ka Naam Sur'at Anjal Hai. Ye Ek Sakht Or Bada Hi Kharab Maraz Hai. Ye Ek Jaan Lewa Maraz To Nahi Magar Iski Wajh Se Dono Or Se Yani Miya Bivi Jinsi Talulat Ke Maje Se Bilkul Mehrun Ho Jate Hai. Aapsi Piyar O Muhabbat,Meljhol,Ghulna Milna,Esho Rahat,Khushi O Shadmani Sab Kuch Khatam Hone Lagta Hai. Iske Bajaye Dukh O Gussa,Nafrat O Ladai Zagde Paida Ho Jate Hai. Sur'at Anjal Shadi Sudhah Logon Ki Sukh Santi CheenLeta Hai. » Sur'at Anjal Namardi Se Bhi Boora Maraz Hai. Namarad To Aurat Se Mubashirat Karne Ke Layak Hi Nahi Hota. Uske Anadr Quwat Baah Nahi Hoti. Or Sur'anjal Ke Mariz Ki Wajah Se Aurat Apne Anjal Tak Nahi Pahochti . » Sur'at Anjal Paida Hone Ki Kai Wujuhat Hai.Jab Mani Patli Ho Jati Hai. To Kharij Hone Lagti Hai. Is Maraz Me Mani (Virya) Ka Rang Zard Or Qawam Patla Ho Jata Hai. Or Injal Hote Waqt Khujli Si Hone Lagti Hai. Virya Kamzor Ho Jata Hai. Must...

AMALIYATE ROOHANI BA MAE KHASIYAT SURAH QURANI

Image
AMALIYATE ROOHANI BA MAE KHASIYAT SURAH QURANI » Surah Al Fateha :- Huzur Nabi E Rahmat Sallallahu Tala Alayhi Wa Sallam  Jab Kisi Aadmi Par Koi Mushibat Aa Padti To Aap Surah Fateha Padhne Ka Hukm Farmate The. Jo Koi Fajar Ki Sunnat O Faraj Ke Darmiyan 41 Bar Padhe Or Mariz Par Dam Kare Allah Ki Ata Se Shifa Paye. Ek Bimar Shakhs Hazrat Ali Karramallau Wajhul Karim Ke Pas Aaya Aapne Uspar Surah Fateha Padha Mariz Ko Kulli Shifa Hasil Hui. » Surah Al Baqrah :- Nabi E Karim Sallallahu Alayhi Wa Sallam Ne Irshad Farmaya Ki Jis Ghar Me Surah Baqrah Padhi Jaye Us Ghar Me Shaitan Dakhil Nahi Hota. Gar Iske Adadi Naqsh Ko Likhkar Junun Wa Mirgi Wale Ke Gale Me Dala Jaye Wo Thik Ho Jaye. Hazrat Shah Abdul Azizi Rahim Alayhirrahma Farmate Hai Ki Surah Al Baqrah Baccho Ki Chechak Ka Munarrab Ilaj Hai. Chechak Ke Mosam Me subh Naharmuh Padh Kar Bacche Par Dam Kar Di Jaye. Insha Allah Chechak Saal Bhar Nahi Niklega. Niklegi Bhi To Mamuli. » Surah Aale Imran :- Is Surah Ko Roz...

DARS E QURAN POST:- 01

Image
°°°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°° ☆ DARS-E-QURAN POST: 01☆ 📜وَ مَنْ یُّطِعِ اللّٰهَ وَ الرَّسُوْلَ فَاُولٰٓىٕكَ مَعَ الَّذِیْنَ اَنْعَمَ اللّٰهُ عَلَیْهِمْ مِّنَ النَّبِیّٖنَ وَ الصِّدِّیْقِیْنَ وَ الشُّهَدَآءِ وَ الصّٰلِحِیْنَۚ-وَ حَسُنَ اُولٰٓىٕكَ رَفِیْقًاؕ. Tarjama: Jo log Allah aur us ke Rasool ki ita'at karenge woh un logo ke saath rahenge jin par Allah Ta'ala ne in'aam farmaya yani Nabiyo,Siddiqo aur shahido ke saath.Aur ye sab bahut hi behtareen saathi hain. 📗Surah Nisa,Aayat No.69 Ye Aayat Kyun Naazil hui? Jawab:Hazrate Sauban radhi allaho anho Huzur ﷺ se bepanaah mohabbat karte the aur thodi der bhi Huzur ﷺ se alag rahna un ke liye bahut hi mushkil hota tha. Ek din itna ziyadah gamgeen ho gaye ki chehre ka rang badal gaya aur qareeb tha ki aankh se aansu tapak jaae.Jab Huzur ﷺ ne un ko dekha to puchha kya baat hai? Unhone kaha ki:Mujhe koi bimaari ya takleef nahi hai baat sirf itni hai ki Ya Rasoolallah ﷺ! Jab aap nigaaho ke saamne n...

Buri nazar se bachne ka quran shareef se khaas amal

Image