DOODH PILANE WALIKA MASLAH


DOODH PILANE WALIKA MASLAH

AURAT KO SHAUHAR KI IJAZAT KE BAGAIR KISI BACHCHE KO DOODH PILANA MAKROOH HAI, ALBATTA AGAR IS (BACHCHE) KE HALAAQ HONE KA ANDESHA HAI TO KARAHAT NAHI, MAGAR MIYAAD KE ANDAR RAZA'AT HAR SOORAT ME SABIT HAI.

AURTO'N KO CHAHIYE KI BILA ZARURAT HAR BACHCHE KO DOODH NA PILA DIYA KAREIN AUR PILAYEIN TO KHUD BHI YAAD RAKHEIN AUR LOGO'N KO YE BAAT KEH BHI DEIN.

BACHCHE NE JIS AURAT KA DOODH PIYA WO IS BACHCHE KI MAA HO JAYEGI AUR US KA SHAUHAR US BACHCHE KA BAAP HO JAYEGA AUR IS AURAT KI TAMAM AULADEIN IS KE BHAI BAHEN KHWAN ISI SHAUHAR SE HO YA DUSRE SHAUHAR SE HO IS KE DOODH PEENE KE SAATH KE HO, BAAD KE HO YA PEHLE KE, AUR IS AURAT KE BHAI IS BACHCHE KE MAMU, ISKI BEHENEIN BACHCHE KI KHALA.*

YUNHI IS SHAUHAR KI AULADEIN IS BACHCHE KE BHAI BAHEN AUR ISKI SHUAHAR KE BHAI ISKE CHACHA AUR IS SHAUHAR KI BEHNE IS BACHCHE KI FUFIYA KHWAN SHAUHAR KI YE AULADEIN ISI AURAT SE HO YA DUSRI AURAT SE.

EK AURAT KA DO BACHCHON NE DOODH PIYA AUR UN ME 1 LADKA AUR 1 LADKI HAI TO YE BHAI BAHEN HAIN AUR INKA APAS ME NIKAH HARAM HAI AGARCHE DONO NE 1 HI WAQT ME NA PIYA HO BALKI DONO ME BARSO KA FASLA HUA HO, AGARCHE DONO KE DOODH PEENE KE WAQT SHAUHAR BHI ALAHIDA HO HAR SURAT ME NIKAH HARAM HI RAHEGA.

DOODH PEENE WALI LADKI KA NIKAH PILANE WALI KE BETO/POTO SE NAHI HO SAKTA KE YE UN KI BAHEN/FUFI HAIN.

📚 DURRE'MUKHTAAR

📚BAHAR E SHARI'AT JILD 07 SAFA NO. 27-28

📚BAHAR E SHARI'AT JILD 07 SAFA NO. 38-39

Popular posts from this blog

AKHIRI NABI MUHAMMAD SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA BAYAN