Ummid Aur Dar


°°°°°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°°°

 ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆         
   

Ummid Aur Dar


Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki: Nabi kareem ﷺ ek jawan ke paas tashrif le gae jo maut ke bilkul qareeb ho chuka tha.Nabi kareem ﷺ ne un se puchha ki: Tum kaisa mehsoos kar rahe ho.Unhone kaha:Ya Rasoolallah ﷺ! Qasam hai Allah ki! Mujhe Allah se ummid bhi hai(Ki woh mujhe bakhsh dega)aur apne gunaaho ki wajah se main dar bhi raha hun. Nabi kareem ﷺ ne farmaya ki:Aise waqt me jis bande ke bhi dil me ye do baaten jama ho jaaengi,To Allah Ta'ala use woh ata farmaaega jis ki use ummid hai aur us se bacha dega jis se use dar hai.

Ref ( Tirmizi,Hadees No.999 )

Note: Insaan ki maut aam taur se usi haalat par hoti hai jis par woh zindagi guzaarta hai aur Qayamat ke din usi haalat par uthaaya jaaega jis par maut hui hai.Is liye hame chaahiye ki ham apni zindagi Allah se ummid aur dar ke saath guzaare. Yani Allah paak se ummid rakhe aur kabhi maayus na hon aur us se darte bhi rahen.

Popular posts from this blog

AKHIRI NABI MUHAMMAD SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA BAYAN