Aayat: Aye imaan walo tum “Ra’ina” na kaho balke “unzurna” kaho aur gaur se suno.


°°°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°

Aayat:


یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَقُوۡلُوۡا رَاعِنَا ۔ سورہ بقرہ،آیت:۱۰۴

Tarjama: Aye imaan walo tum “Ra’ina” na kaho balke “unzurna” kaho aur gaur se suno.


[Surah Baqrah,Aayat No.104]

Shaan-e-Nuzool:
Tafseer ki kitaabon me hai ki jab huzur sallallaho alihe wasallam sahaba ko kuchh padhate aur sikhate the to agar unhe koi baat samajh me nahi aati to woh kehte “Raa’ina Ya Rasoolallah ﷺ!” Is ka maana ye tha ki Ya Rasoolallah ﷺ! Ham logon ki riya’at kijiye aur hame khoob achchhi tarah samajh lene dijiye. Yahudiyon ki zubaan me is lafz ka maana hota tha “Hamare jaanwaron ke charaane wale” To yahudiyon ne isi maane ki niyat se ye lafz apni majlison me huzur ke liye  kahna shuru kar diya.Hazrat-e-Sa’ad bin Ma’az radhi allaho anho jo yahudiyon ki zubaan achchhi tarah jaante the.Ek din yahudiyon ko yahi lafz huzur ke liye kehte hue sun liya.To aap ne farmaya: Aye khuda ke dushmano! Agar ab ye lafz main ne kisi ko kehte hue sun liya to us ko qatal kar donga.Yahudiyon ne kaha ki aap ham par gussa hote hain. Musalman bhi to ye lafz huzur ke liye bolte hain.Is par aap gamgin ho kar huzur ki baargaah me haazir hi hue the ki ye aayat naazil hui.

یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَقُوۡلُوۡا رَاعِنَا وَقُوۡلُوا انۡظُرْنَا وَاسْمَعُوۡا ؕ  وَ لِلۡکٰفِرِیۡنَ عَذَابٌ اَلِیۡمٌ.
 سورۃ البقرۃ :104

Tarjama: Aye imaan walo tum “Ra’ina” na kaho balke “unzurna” kaho aur gaur se suno. Aur kaafiron ke liye bada dardnaak azaab hain.[Surah baqra,Aayat No.104]
Is aayate karima me “Ra’ina” ka lafz istemaal karna mana kar diya gaya aur isi maane ko ada karne wala ek dusra lafz “Unzurna” kahne ka hukm hua.Is se maloom hua ki ambiya-e-Kiram ki shaan me koi aisa lafz jis se kisi bhi tarah galat mana nikal sakta ho us ka istemal karna sahi nahi hai

Popular posts from this blog

AKHIRI NABI MUHAMMAD SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA BAYAN