Allah Ta'ala Har kisi ko kya nahi deta hai?


°°°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°

Allah Ta'ala Har kisi ko kya nahi deta hai?


 Aayat:

مَا کَانَ اللہُ لِیَذَرَ الْمُؤْمِنِیۡنَ عَلٰی مَاۤ اَنۡتُمْ عَلَیۡہِ حَتّٰی یَمِیۡزَ الْخَبِیۡثَ مِنَ الطَّیِّبِ ؕ وَمَا کَانَ اللہُ لِیُطْلِعَکُمْ عَلَی الْغَیۡبِ وَلٰکِنَّ اللہَ یَجْتَبِیۡ مِنۡ رُّسُلِہٖ مَنۡ یَّشَآءُ فَاٰمِنُوۡا بِاللہِ وَرُسُلِہٖ ۚ وَ  اِنۡ تُؤْمِنُوۡا وَتَتَّقُوۡا فَلَکُمْ اَجْرٌ عَظِیۡمٌ

Tarjama: Allah musalmano ko is haal par nahi chhodega jis par tum (abhi) ho,Jab tak ki woh alag nahi karde gande (Munafeqin) ko saaf suthre (Mukhlis momino) se.Aur Allah ki ye shan nahi ki aye aam logo!Tumhe gaib ka ilm de de.Haan!(Is ke liye) Allah chun leta hai apne rasoolo me se jise chaahta hai.To imaan laao Allah aur us ke Rasoolo par.Aur agar tum imaan laae aur parhezgaari ekhtiyaar kiye to tumhare liye bada sawab hai.

[Surah Aal-e-Imran,Aayat No.179]


Shan-e-Nuzool: Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne ek baar ye farmaya ki:Allah Ta’ala ne mujhe ye ilm diya ki qayamat tak ke paida hone wale logo me se kaun kaun mujh par imaan laaega aur kaun nahi laaega.Jab ye khabar munafiqo tak pahunchi to un logo ne huzur ke farman ka mazaaq udaate hue kaha ki:Muhammad (Sallallaho alaihe wasallam) ka guman ye hai ki woh un logo ke baare me bhi jaante hain jo abhi paida bhi nahi hue ki un me se kaun un par imaan laaega aur kaun kufr karega.jab ki ham log un ke saath rahte hain aur woh
Hame nahi pahchaante.Jab ye baat huzur tak pahunchi to Aap Sallallaho alaihe wasallam ne masjid me logo ko jama farmaya aur khud member par khade ho kar farmaya ki: Un logo ka kya haal hai jo mere ilm me kami nikaalte hain.Aaj se qayamat tak ke baare me tum ko jo bhi puchhna hai puchho,Main tum ko isi jagah par jawab donga.(Jab Huzur Sallallaho alaihe wasallam baar baar farmaane lage ki mujh se puchho,mujh se puchho) To hazrat-e-Abdullah khade hue jin ke baap ke baare me log shak kiya karte the.Aur unho ne puchha ki Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam!Mera baap kaun hai?To Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki tumhare baap Huzaafa hain.(Bukhari aur Muslim ki riwayat me hai ki un ke baad ek aur shakhs khada hua aur us ne puchha ki:Mera aakheri thikaana kahan hai,Jannat ya jahannam? To Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Jahannam.) Phir hazrat-e-Umar radhi allaho anho khade hue aur arz kiya ki: Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam! Ham Allah ke rab hone se aur Islam ke deen hone se aur Quran ke peshwa hone se aur Aap ke Nabi hone se raazi hain. Ham aap se maafi chaahte hain.Huzur ne farmaya ki kya tum log sidhe raaste par aaoge.Phir aap member se utre is par Allah Ta’ala ne ye aayat nazil farmaya  ki: Allah musalmano ko is haal par nahi chhodega jis par tum (abhi) ho,Jab tak ki woh alag nahi karde gande (Munafeqin) ko saaf suthre (Mukhlis momino) se.Aur Allah ki ye shan nahi ki aye aam logo!Tumhe gaib ka ilm de de.Haan!(Is ke liye) Allah chun leta hai apne rasoolo me se jise chaahta hai.To imaan laao Allah aur us ke Rasoolo par.Aur agar tum imaan laae aur parhezgaari ekhtiyaar kiye to tumhare liye bada sawab hai.[Surah Aal-e-Imran,Aayat No.179]

Is tafseel se maloom hua ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam qayamat tak hone wali sabhi chizo ko jaante the.Aur Huzur ke ilm gaib me kami nikaalna  aur use na maan na munafiqo ka tariqa hai.

Ref (Tafseer-e-Baiz,Vol:2,Page No.122

Popular posts from this blog

AKHIRI NABI MUHAMMAD SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA BAYAN