DARS E QURAN POST:- 01
°°°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°
☆ DARS-E-QURAN POST: 01☆
📜وَ مَنْ یُّطِعِ اللّٰهَ وَ الرَّسُوْلَ فَاُولٰٓىٕكَ مَعَ الَّذِیْنَ اَنْعَمَ اللّٰهُ عَلَیْهِمْ مِّنَ النَّبِیّٖنَ وَ الصِّدِّیْقِیْنَ وَ الشُّهَدَآءِ وَ الصّٰلِحِیْنَۚ-وَ حَسُنَ اُولٰٓىٕكَ رَفِیْقًاؕ.Tarjama: Jo log Allah aur us ke Rasool ki ita'at karenge woh un logo ke saath rahenge jin par Allah Ta'ala ne in'aam farmaya yani Nabiyo,Siddiqo aur shahido ke saath.Aur ye sab bahut hi behtareen saathi hain.
📗Surah Nisa,Aayat No.69
Ye Aayat Kyun Naazil hui?Jawab:Hazrate Sauban radhi allaho anho Huzur ﷺ se bepanaah mohabbat karte the aur thodi der bhi Huzur ﷺ se alag rahna un ke liye bahut hi mushkil hota tha. Ek din itna ziyadah gamgeen ho gaye ki chehre ka rang badal gaya aur qareeb tha ki aankh se aansu tapak jaae.Jab Huzur ﷺ ne un ko dekha to puchha kya baat hai? Unhone kaha ki:Mujhe koi bimaari ya takleef nahi hai baat sirf itni hai ki Ya Rasoolallah ﷺ! Jab aap nigaaho ke saamne nahi hote to mujhe bahut parishaani hoti hai.Aur jab main apni aakherat ko yaad karta hun to sochta hun ki wahan par main aap ko kaise dekh paaonga? Kyunki agar Allah Ta'ala ne mujhe apne karam se jannat ata bhi farma dega tab bhi main to aap ke buland darje tak nahi pahunch paaunga. Is par ye aayat naazil hui.
Jo log Allah aur us ke Rasool ki ita'at karenge woh un logo ke saath rahenge jin par Allah Ta'ala ne in'aam farmaya yani Nabiyo,Siddiqo aur shahido ke saath.Aur ye sab bahut hi behtareen saathi hain.
Aur unhe tasalli di gayi ki Darjo ke farq ke bawajood bhi jo log Allah aur uske rasool ke farma bardaar honge woh jannat me Nabi ke didaar se mahroom nahi honge balki un ke saath me rahna aur unko dekhna naseeb hoga.
Huzur ﷺ ne farmaya ki:Qayamat ke din har shakhs usi ke saath hoga jis se woh mohabbat karta hai
📜یٰۤاَیُّهَا الَّذِیْنَ اٰمَنُوْۤا اِنْ تَنْصُرُوا اللّٰهَ یَنْصُرْكُمْ وَ یُثَبِّتْ اَقْدَامَكُمْ
Tarjama: Aye imaan walo! Agar tum Allah ke deen(Islam) ki madad karoge to Allah Ta'ala tumhari madad farmaaega.Aur tumhare Qadmo ko saabit rakhega (Yani jama dega.)
📚Surah Mohammad,Aayat No.7
Tafseer: Allah Ta'ala apne deen ko phailaane aur use taraqqi dene me bando ki madad ka mohtaaj nahi hai. Lekin usne apne karam se ye wada farmaya ki agar bande uske deen ki madad karenge aur uske liye koshish karenge to Allah Ta'ala un ki madad farmaaega. Aur iski barkat se Allah Ta'ala apne deen ki madad karne wale bando ke Qadam ko Qabar aur pul-siraat par saabit rakhega. Aur unhe jahannam me girne se bacha lega.Deen ki madad karne ke tariqe
1 Deen ki Taalim Haasil karen.
2 Khud deen ke hukm par amal karen aur apne ghar walo ko bhi is ka paaband banaae.
3 Sone,Jaagne,Uthne,Baithne, khaane, pine, pahan-ne,Odhne,Shadi biyaah aur is ke elawah Rahan sahan aur har maamle me Deen ke tariqe ko apnaae aur gairo ke tariqo se bilkul door rahe.
4 Deen ke raaste me apna maal dil khool kar kharch karen.
5 Logo ko buraaiyo se roken aur neki ka hukm den.
Is ke elawah aur bhi bahut se tariqe hain jin ke zariye ek banda apne deen ki madad kar sakta hai.
Allah Ta'ala ham sab ko deen ki khidmat khloos ke saath karne ki taufeeq ata farmaae.Aur Allah T'ala hame salamti ke saath jannat me daakhil farmaae.
📜وَ لَكُمْ نِصْفُ مَا تَرَكَ اَزْوَاجُكُم اِنْ لَّمْ یَكُنْ لَّهُنَّ وَلَدٌۚ-فَاِنْ كَانَ لَهُنَّ وَلَدٌ فَلَكُمُ الرُّبُعُ مِمَّا تَرَكْنَ مِنْۢ بَعْدِ وَصِیَّةٍ یُّوْصِیْنَ بِهَاۤ اَوْ دَیْنٍؕ-وَ لَهُنَّ الرُّبُعُ مِمَّا تَرَكْتُمْ اِنْ لَّمْ یَكُنْ لَّكُمْ وَلَدٌۚ-فَاِنْ كَانَ لَكُمْ وَلَدٌ فَلَهُنَّ الثُّمُنُ مِمَّا تَرَكْتُمْ مِّنْۢ بَعْدِ وَصِیَّةٍ تُوْصُوْنَ بِهَاۤ اَوْ دَیْنٍؕ
Tarjama: Aur tumhari biwiyan jo maal chhod kar inteqaal kar jaaen.Agar unki aulaad na ho to tumhare liye us me se aadha hissa hai.Aur agar un ki aulaad ho to tumhare liye un ke chhode hue maal me se chauthaai hissa hai.(Ye hisse)Us wasiyat ko pura karne ke baad honge jo unhone ki ho aur qarz ada karne ke baad honge(agar un par qarz ho)
Aur agar tumhare aulaad na ho to tumhare chhode hue maal me se tumhaari biwi ke liye chauthaai hissa hai.Aur agar tumhare aulaad ho to un ke liye aathwa hissa hai.(Ye hisse)Us wasiyat ko pura karne ke baad honge jo tum ne ki ho aur qarz ada karne ke baad honge(agar qarz ho)