Zameen us din apni khabro ko bayan karegi
°°°°°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°°°
Surah Zilzaal
Hazrat-e-Abu Huraira radhi allaho anho bayan karte hain ki:Nabi kareem ﷺ ne Surah zilzaal ki Ye aayat Tilwat farmaya.یو مٸذ تحدث اخبارھا۔
Zameen us din apni khabro ko bayan karegi.(Surah Zizaal,Aayat No.4)
Is aayat ke padhne ke baad Nabi kareem ﷺ ne sahaba se puchha: Kya tum log jaante ho ki zameen kya khabar bayan karegi.Sahaba ne kaha:Allah aur us ke Rasool ziyadah jaan ne wale hain.To Aap ﷺ ne farmaya ki: Us din zameen har mard aur aurat ke baare me gawahi degi jo kuchh bhi us ne zameen par rah kar kiya hoga.Aur woh kahegi ki falaan ne falaan din aisa aisa kiya.Yahi uski khabar hogi.
Ref ( Tirmizi,Hadees No.2616
Note: Maloom hua ki ham zameen ke jis hisse par jo bhi achchaai ya buraai kare ye zameen qayamat ke din hamara gawaah hogi. Is liye hame is par rah kar neki karni chaahiye aur buraaiyo se tanhaaiyo me bhi bachna chaahiye.