Posts

JUOOT BOLNE WALA PAR ALLAH KI LAANAT.

Image
JUOOT BOLNE WALA PAR ALLAH KI LAANAT. ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ    ​    ﺍﻟﺼّﻶﺓُﻭﺍﻟﺴّﻼﻡُﻋﻠﻴﻚَ ﻳﺎَﺭﺳُﻮﻝَﺍﻟﻠّٰﻪﷺ Al-Quraan “Beshak Jhoot Bolne Waale Par Allah ki Lanat”. Ref (Sureh Aal-e-Imran, Ayat 61) ☆Jhoot Se Bacho! Bilashuba Jhoot Gunaah Ki Taraf Le Jaata Hai Aur Gunaah Jahannam Me Pahunchane Wala Hai. Ref (Abu Dawood) ☆ Bahut Saare Log Munh Ke Bal Jahannam Me Phenk Diye Jayenge, Sirf Apni Zubaan (Yaani Jhoot) Ki Wajah Se. !! Ref (Tirmizi Sharif) ♡ Hadees : “Mai Zamanat Deta Hun Jannat Ke Darmiyan 1 Ghar Ki, Uss Shaks Ko Jo Mazaq Me Bhi Jhoot Na Bole.” Ref (Abu Dawod) ☆Jab Koi Jhooti Gawaahi Deta Hai, Toh Arsh Kaanpta Hai Aur Arshh Ke Farishte Gawaahi Dene Wale Per Lanat Karte Hai. !! Ref (Bage Jannat Safa.70) ☆ Apni Jhooti Taarif Pasand Karna Sharike Haraam Hai, aur Uss Me Aakhirat Ki Barbadi Ka Andesha Hai... Ref (Bukhari Sharif, Muslim Sharif) ☆Uss Shakhs Ke Liye Kharaabi Hai Jo Baa...

Balon ki hifazat aur lamba karne ka bahut hi khaas aasan tariqa

Image
बालों को झड़ने से बचाने और लम्बा करने का बहुत ही ख़ास आसान तरीक़ा इस तरीक़ा को अपनाओ आप का बाल कभी भी नहीं झाड़ेगा और खूब लम्बा रहेगा.

ROZI K LIYE ISTEKHARA

Image
ROZI K LIYE ISTEKHARA   Aksar Logo ko Ye Pareshani Rehti Hai k Kon sa Karobar ya Job kru Jo Mere Liye Faydemand Ho Ya Mere Hak Me Behtar Ho. Rozi Ka Mas'ala Aasan Karna Ho to.....  Ye Amal Shab e Juma ko Rat 12 Baje k Bad Tanhaai Me Kare. Pehle Taza Wuzu Kre Fir 2 Rakaat Nafl Namaz Salatut Tauba ki Niyat se Padhe aur Apne Gunaho Ki Allah Se Muafi Talab kare. Fir... Astagfar.. ki Tasbih 100 bar... fir  Durude pak 100 bar.. fir  Sure Talaaq (para 28) ki Aayat no 7 Ka ye Hissa 100 bar وَ مَنْ قُدِرَ عَلَیْهِ رِزْقُهُ فَلْیُنْفِقْ مِمَّآ اٰتٰهُ اللّٰهُ.. لَا یُکَلِّفُ اللّٰهُ نَفْسًا اِلَّا مَآ اٰتٰھَا.. سَیَجْعَلُ اللّٰهُ بَعْدَ عُسْرٍ یُّسْرًا . (Waman Qudira Alaihi..... se le kr Ba'ad Usriy Yusra..... tak).. Fir..  Durude pak 100 bar Itna Padh Kar Allah Ki Bargah Me Us k Pyare Habib ﷺ ka Waseela Pesh kr k Dua Kare k Ya Allah Muj Pe Us Zariye Ko Zahir Farma De Jis Zariye se Tune Mere Naseeb me Rozi Dena Muqarrar Farmaya Hai ...

SHAHAD SE FAWAYID

Image
SHAHAD SE FAWAYID ◆ Quran Me Allah Ta'ala Farmate he : ۚ يَخْرُجُ مِنْ بُطُونِهَا شَرَابٌ مُخْتَلِفٌ أَلْوَانُهُ فِيهِ شِفَاءٌ لِلنَّاس Tarzama:*Unn Makhhio Ke pet se Pine ki chiz Nikalti he jiske Rang Mukhtlif hote he usme Logo ke Shifa he  Ref [ Surah Nahal: 69 ] ◆Fayda: Shahad Aisi Kudrati Nemat he , jo mukammal Dawa Aur Bhrapur Giza bhi he, jo har Shakhs aur wah har Umr wale ke liye behad Mufid he , Khususiyat Se Subah Nihar Muh Uska Istemal Badi Badi Bimariyo Se Hifazat ka Zariya He

RAKH SE JAKHM KA ILAAZ

Image
RAKH SE JAKHM KA ILAAZ ◆ Gazaw E Ohad Me Jab Rasool'Allah ﷺ Ka Chehra e Mubarak jakhmi Ho Gaya To Aapﷺ ki Sahabzadi Hazrat Fatima Razi Allahu Taala Anha Khun Dho Rahi Thi aur Hazrat Ali Razi Allahu Taala Anhu Jakhmo par Paani Daal rahe the Hazrat Fatima Razi Allahu Taala Anha Ne Jab Dekha ke Khun Bandh  hone Ke Bajay Badhta Hi Jaa Raha he To Unhone  ( khajur Ke patto ki ) Chatayi ka Ek Tukda lekar Jalaya aur Jab wah Rakh Ho Gaya To Usko Jakhmo par Laga Diya Jisse Khun Bandh Ho Gaya.  Ref [ Bukhari  : 2903 ] ◆Fayda: Hakimo Ne likha he Ki Taat Ke Patto aur Khajur ko Chatayi Ki Rakh Badhte Hue Khun ko Rokne Me Bahot Mufid he

Hamare Nabi ki Seerat Hamare Nabi ke Aamad Ka Zikr Quran w Hadees ki Raushni Mein.

Image
Hamare Nabi ki Seerat Hamare Nabi ke Aamad Ka Zikr Quran w Hadees ki Raushni Mein. ◆PART :- 07 ◆Riwayat No.01.. ◆HAZRAT-E-FATIMA BINTE ABDULLAH رضى الله تعالى عنه farmati hain, ◆ "Huzoor ﷺ Ki Wiladat Ke Waqt Maine Sitaaro Ko Dekha Ke Aasman Se Niche Utar Aaye Hai" Ref (MAWAHIBUL LADDUNIYA, Jild-1,Safa-22) ●Riwayat No.02.... ◆HAZRAT-E-FAATIMA BINTE ABDULLAH رضى الله تعالى عنه Farmati hain, ◆"Huzoor ﷺ ki wiladat ke waqt maine dekha ke saara Ghar Noor se pur tha" Ref (HUJJATULLAHI ALAL AALAMIN SAFA-227) ◆Riwayat No.03... ◆"Aaqa ﷺ ki wiladat ke waqt aap ki walida ke pass Aasman se 4 Auratein aayi, 1.Hazrat HAWWA.. 2.Hazrat SAARA.. 3.Hazrat HAAJRA.. 4.Hazrat AASIYA" Ref (TAFSIR-E-ALAM NASHRAH S.95) ●Riwayat No.04... ◆Aap ﷺ ki wiladat ki khushi main Allah Kareem ne us din/raat Tamam Maaon ko betay ki khushi say nawaza. Ref (KHASAIS UL KUBRA, Jild 1, Page 117) Ref (ANWAR E MUH...

Khawateen e islam ke liye zaroori islami masaile auraton ke zaroori masaile. PART- 02

Image
Khawateen e islam ke liye zaroori islami masaile auraton ke zaroori masaile. PART- 02 ◆HAIZ (Menstrual Cycle) KA BAYAAN ●ALLAH T'AALA irshad farmata hai :- ◆Tarjama :- ◆Aye MAHBOOB tumse haiz ke baare me log sawal karte hain tum farma do woh Gandi cheez hai, ◆To Haiz me Auraton se bacho aur unse Qurbat (Humbistari) na karo jab tak paak na ho lein, ◆To jab paak ho Jayein Unke paas us jagah se aao jiska ALLAH ne tumhe hukm diya beshak ALLAH dost rakhta hai touba karne walon ko aur dost rakhta hai paak hone walon ko " ◆HADEES NO. 01  ◆SAHI MUSLIM me ANAS IBNE MAALIK RADHIYALLAHU T'ALA ANHU se marwi ki farmate hain ki Yahoodiyon me jab kisi Aurat ko haiz (M C) Aata to use na apne sath khilaate aur na apne Gharon me Rakhte, ◆SAHABA E KIRAM ne HUZOOR E AKRAM SALLALLAHU T'ALA ALEIYHI WASALLAM se puchha us par ALLAH T'ALA ne. ◆" wa yas, aaloo naka A'anilmaheedhi " ◆Nazil farmaai to RASOOLULLAH SALLALLAHU T...

Hamare Nabi ki Seerat Hamare Nabi ke Aamad Ka Zikr Quran w Hadees ki Raushni Mein. ◆PART :- 06

Image
Hamare Nabi ki Seerat Hamare Nabi ke Aamad Ka Zikr Quran w Hadees ki Raushni Mein. ◆PART :- 06 ◆Jhande Lehrana kiski Sunnat ? ●Reference No.01... ◆Hazrate Amina رضى الله تعالى عنه farmati hain ki, ◆"Jab Muhammad ﷺ Ki Wiladat Hui Us waqt Hazrat Jibrail علیہ السلام Ne 3 Jhande Nasab Kiye Ek Magrib Me Ek Mashrik Me Aur Ek Kaabe Ki Chat par" ◆Is Riwayat Ko Shah Abdul Haq Muhaddith Dahelvi ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه Ne Apni Kitab "Madarijun nabuwa" Jild 2 Me Naqal Kiya Hai.... ●Reference No.02.. ◆Hadees Shareef main aata hai k jub SARKAR ﷺ Madina shareef main dakhil hue to Aap ke haath main sabz jhanda tha. Ref (Wafa al wafa, Vol:1, Pg:243). ●Reference No.03... ◆Huzoor ﷺ ki peydaish per Hazrat Jibraeel علیہ السلام ney jhandy garhey. Ref (Khasais Al qubra, Vol:1, Page:82) ◆Naat-e-Mustafa ﷺ Padhna kiski Sunnat ? ●Reference No.01... ◆Huzoor ﷺ Hazrat Hassan رضی الله عنہ ke liye Masjid-e-Nabawi shareef me Mimbar rakhte or H...

Hamare Nabi ki Seerat Hamare Nabi ke Aamad Ka Zikr Quran w Hadees ki Raushni Mein. ◆PART :- 05

Image
Hamare Nabi ki Seerat Hamare Nabi ke Aamad Ka Zikr Quran w Hadees ki Raushni Mein. ◆PART :- 05 ◆Juloos E Milad Un Nabi Nikalna kis ki Sunnat? ◆Aaiye Dekhte Hai Milad Un Nabi (ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم) Ke Mauke Nikale Jane Wale Juloos ke Mustahab Amal Hadith Ki Roshni Me. ◆Pehle hum kuch point note kar lete hain ki juloos me hota kya hain. ◆Naat padhi jaati hai jis me Aaqa-E-Karim (ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم) ki Shaan aur Azmat ka bayan kiya jaata hai. ◆Khushi mein Jhandey lehraye jaate hain. ◆Log Ikhatte jama hote hain aur Naare lagaye jaate hain. ◆"Hum (Sahaba Ikram) Sab Apne Bachcho Samet Huzoor Ke Istiqbal Ke Liye Wida Ki Ghatiyo Tak Gaye".... Ref (Bukhari Jild 1, Safa 543) ◆Jab Aaqa (ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم) Hijrat Kar ke MADINA Sharif Aaye To Logon Ney Khoob Jashan Manaya Naw-jawan Ladke Apni Chatton Par Chadh Kar Aur Ghulam, Khuddam Raasto Me Phirte the Aur Nara'Aey Risalat Lagate Aur Kehte "Ya RasoolAllah" (ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم)...