ROZI K LIYE ISTEKHARA
ROZI K LIYE ISTEKHARA
Aksar Logo ko Ye Pareshani Rehti Hai k Kon sa Karobar ya Job kru Jo Mere Liye Faydemand Ho Ya Mere Hak Me Behtar Ho. Rozi Ka Mas'ala Aasan Karna Ho to.....
Ye Amal Shab e Juma ko Rat 12 Baje k Bad Tanhaai Me Kare. Pehle Taza Wuzu Kre Fir 2 Rakaat Nafl Namaz Salatut Tauba ki Niyat se Padhe aur Apne Gunaho Ki Allah Se Muafi Talab kare. Fir...
Astagfar.. ki Tasbih 100 bar... fir
Durude pak 100 bar.. fir
Sure Talaaq (para 28) ki Aayat no 7 Ka ye Hissa 100 bar
وَ مَنْ قُدِرَ عَلَیْهِ رِزْقُهُ فَلْیُنْفِقْ مِمَّآ اٰتٰهُ اللّٰهُ.. لَا یُکَلِّفُ
اللّٰهُ نَفْسًا اِلَّا مَآ اٰتٰھَا.. سَیَجْعَلُ اللّٰهُ بَعْدَ عُسْرٍ یُّسْرًا .
(Waman Qudira Alaihi..... se le kr Ba'ad Usriy Yusra..... tak).. Fir..
Durude pak 100 bar
Itna Padh Kar Allah Ki Bargah Me Us k Pyare Habib ﷺ ka Waseela Pesh kr k Dua Kare k Ya Allah Muj Pe Us Zariye Ko Zahir Farma De Jis Zariye se Tune Mere Naseeb me Rozi Dena Muqarrar Farmaya Hai
Insha allah Is Amal ki Barkat se Khwab k zariye Pata Chal Jayega k Kon sa Karobar Ya Job Karna Hamare Liye Fayde mand Rahega.